sabhi KHudaon se teri aman chahti hai
sabhī ḳhudāoñ se terī amaan chāhtī hai
ilāhī ab ke zamīñ āsmān chāhtī hai
añdhere bārgah-e-rab se izn paate haiñ
ye raushnī hī charāġhoñ kī jaan chāhtī hai
use badan kī haqīqat se ham-kanār karo
vo rūh-zādī ġhalat imtihān chāhtī hai
maiñ jāntā huuñ tirī baat ban chukī hai kahīñ
magar ye talḳh haqīqat gumān chāhtī hai
mujhe nigāhoñ kī bhāshā nahīñ samajh aatī
mirī umiid tumhārī zabān chāhtī hai
hameñ na bāġh-e-iram chāhiye na jām-e-jam
hamārī tesha-mizājī chaTān chāhtī hai
hazār sāloñ kī pyāsī ye dasht kī devī
navāh-e-najd kā ek aur javān chāhtī hai
sabhi KHudaon se teri aman chahti hai
ilahi ab ke zamin aasman chahti hai
andhere bargah-e-rab se izn pate hain
ye raushni hi charaghon ki jaan chahti hai
use badan ki haqiqat se ham-kanar karo
wo ruh-zadi ghalat imtihan chahti hai
main jaanta hun teri baat ban chuki hai kahin
magar ye talKH haqiqat guman chahti hai
mujhe nigahon ki bhasha nahin samajh aati
meri umid tumhaari zaban chahti hai
hamein na bagh-e-iram chahiye na jam-e-jam
hamari tesha-mizaji chaTan chahti hai
hazar salon ki pyasi ye dasht ki dewi
nawah-e-najd ka ek aur jawan chahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.