sadme se shab-e-hijr ke kab jaan bar aai
sadme se shab-e-hijr ke kab jaan bar aai
Meer Muzaffar Husain Zameer
MORE BYMeer Muzaffar Husain Zameer
sadme se shab-e-hijr ke kab jaan bar aa.ī
ye shaam nahīñ aa.ī qazā hī magar aa.ī
dekhā mirā bistar jo kal us shoḳh ne ḳhālī
har chand kiyā zabt magar aañkh bhar aa.ī
kartā hai ka.ī din se mire qatl kī tadbīr
sad-shukr ki us but kī tabī.at idhar aa.ī
aate hī tire aa ga.ī ik jaan sī tan meñ
ai nig.hat-e-gesu-e-mo.ambar kidhar aa.ī
tasvīr-e-ḳhyālī kī tirī kyā kahūñ shoḳhī
gah chhup ga.ī nazroñ se to gaahe nazar aa.ī
gulshan meñ ḳhizāñ aa.ī to bulbul ye pukārī
ab fasl-e-bahārī gul-e-dāġh-e-jigar aa.ī
turbat pe chaḌhāne ko tire soḳhtagāñ ke
le ke par-e-parvāna nasīm-e-sahar aa.ī
har tār-e-nihānī hī ko samjhā maiñ rag-e-gul
yaad us gul-e-nāzuk kī jo mujh ko magar aa.ī
pūchho to ‘zamīr’-e-jigar-afgār kahāñ hai
jis din se gayā vo na phir us kī ḳhabar aa.ī
sadme se shab-e-hijr ke kab jaan bar aai
ye sham nahin aai qaza hi magar aai
dekha mera bistar jo kal us shoKH ne KHali
har chand kiya zabt magar aankh bhar aai
karta hai kai din se mere qatl ki tadbir
sad-shukr ki us but ki tabiat idhar aai
aate hi tere aa gai ek jaan si tan mein
ai nighat-e-gesu-e-moambar kidhar aai
taswir-e-KHyali ki teri kya kahun shoKHi
gah chhup gai nazron se to gahe nazar aai
gulshan mein KHizan aai to bulbul ye pukari
ab fasl-e-bahaari gul-e-dagh-e-jigar aai
turbat pe chaDhane ko tere soKHtagan ke
le ke par-e-parwana nasim-e-sahar aai
har tar-e-nihani hi ko samjha main rag-e-gul
yaad us gul-e-nazuk ki jo mujh ko magar aai
puchho to ‘zamir’-e-jigar-afgar kahan hai
jis din se gaya wo na phir us ki KHabar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.