safar mein zindagi ke hum unhen rahbar samajhte hain
safar meñ zindagī ke ham unheñ rahbar samajhte haiñ
jo sang-e-rāh ko phūloñ hī kā bistar samajhte haiñ
bashar ne hī nahīñ samjhe rumūz-e-gardish-e-paiham
rumūz-e-gardish-e-paiham mah-o-aḳhtar samajhte haiñ
ilāhī rāz-e-hastī ek aisā raaz hai jis ko
na dīvāne samajhte haiñ na dānish-var samajhte haiñ
ḳhayāloñ se hī sachchā.ī kā andāza nahīñ hotā
ki manzar dekhne vaale hī pas-manzar samajhte haiñ
haqīqat ko samajhne meñ ḳhudī kā zo'm haa.il hai
haqīqat ham matā'-e-be-ḳhudī pā kar samajhte haiñ
bashar ne jang kā maidāñ banāyā hai inheñ varna
parinde mandir-o-masjid ko apnā ghar samajhte haiñ
junūn-e-'ishq ke māroñ kī ḳhūbī hai yahī 'gauhar'
vo har bedād-gar ko apnā chārāgar samajhte haiñ
safar mein zindagi ke hum unhen rahbar samajhte hain
jo sang-e-rah ko phulon hi ka bistar samajhte hain
bashar ne hi nahin samjhe rumuz-e-gardish-e-paiham
rumuz-e-gardish-e-paiham mah-o-aKHtar samajhte hain
ilahi raaz-e-hasti ek aisa raaz hai jis ko
na diwane samajhte hain na danish-war samajhte hain
KHayalon se hi sachchai ka andaza nahin hota
ki manzar dekhne wale hi pas-manzar samajhte hain
haqiqat ko samajhne mein KHudi ka zo'm hail hai
haqiqat hum mata'-e-be-KHudi pa kar samajhte hain
bashar ne jang ka maidan banaya hai inhen warna
parinde mandir-o-masjid ko apna ghar samajhte hain
junun-e-'ishq ke maron ki KHubi hai yahi 'gauhar'
wo har bedad-gar ko apna chaaragar samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.