sahra ka shajar faiz mein maon ki tarah tha
sahrā kā shajar faiz meñ maaoñ kī tarah thā
jo dhuup meñ jannat kī fazāoñ kī tarah thā
maiñ ġhurbat-o-iflās ke sahrā kā musāfir
vo resham-o-atlas kī qabāoñ kī tarah thā
jo jism pe rakhtā thā ra.īsoñ kā labāda
vo shaḳhs mizājan to gadāoñ kī tarah thā
ai jān-e-bahārāñ tire ik aane se pahle
ye dil kisī ujḌe hue gaaoñ kī tarah thā
vo lamha jo guzrā tire bin kaise batā.ūñ
tūfān-e-havādis kī havāoñ kī tarah thā
ye 'uqda khulā jo mirā dam-sāz thā ab tak
sahrā meñ vo be-faiz sadāoñ kī tarah thā
us shaḳhs se mahrūm huā dast-e-tamannā
jo mujh ko musībat meñ du'āoñ kī tarah thā
rah rah ke bahut dhuup meñ yaad aatā hai 'rāhī'
apne liye bargad kī jo chhāoñ kī tarah thā
sahra ka shajar faiz mein maon ki tarah tha
jo dhup mein jannat ki fazaon ki tarah tha
main ghurbat-o-iflas ke sahra ka musafir
wo resham-o-atlas ki qabaon ki tarah tha
jo jism pe rakhta tha raison ka labaada
wo shaKHs mizajan to gadaon ki tarah tha
ai jaan-e-bahaaran tere ek aane se pahle
ye dil kisi ujDe hue gaon ki tarah tha
wo lamha jo guzra tere bin kaise bataun
tufan-e-hawadis ki hawaon ki tarah tha
ye 'uqda khula jo mera dam-saz tha ab tak
sahra mein wo be-faiz sadaon ki tarah tha
us shaKHs se mahrum hua dast-e-tamanna
jo mujh ko musibat mein du'aon ki tarah tha
rah rah ke bahut dhup mein yaad aata hai 'rahi'
apne liye bargad ki jo chhaon ki tarah tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.