sainkaDon sae magar ek aashna chehra na tha
saiñkaḌoñ saa.e magar ik āshnā chehra na thā
jagmagāte shahr meñ mujh sā koī tanhā na thā
jis ne jhāñkā raat mujh ko aa.ine kī oT se
jaanā pahchānā lagā pahle kabhī dekhā na thā
mujh se pahle bhī bahut se ahl-e-dil rusvā hue
shahr meñ lekin kabhī itnā tirā shohrā na thā
har kalī kī aañkh meñ bhīge dhuñdalke chhā ga.e
vaqt kī āñkhoñ meñ kājal shaam kā phailā na thā
habs bhī thā ek vahshat-nāk sannāTe ke saath
dam-ba-ḳhud har shāḳh thī pattā koī hiltā na thā
kaun sī dīmak badan se ruuh tak chaT kar ga.ī
ab huuñ jitnā khokhlā pahle kabhī itnā na thā
jis ne rusvā kar diyā 'akram' bhare bāzār meñ
sochtā huuñ us se kyā merā koī rishta na thā
sainkaDon sae magar ek aashna chehra na tha
jagmagate shahr mein mujh sa koi tanha na tha
jis ne jhanka raat mujh ko aaine ki oT se
jaana pahchana laga pahle kabhi dekha na tha
mujh se pahle bhi bahut se ahl-e-dil ruswa hue
shahr mein lekin kabhi itna tera shohra na tha
har kali ki aankh mein bhige dhundalke chha gae
waqt ki aankhon mein kajal sham ka phaila na tha
habs bhi tha ek wahshat-nak sannaTe ke sath
dam-ba-KHud har shaKH thi patta koi hilta na tha
kaun si dimak badan se ruh tak chaT kar gai
ab hun jitna khokhla pahle kabhi itna na tha
jis ne ruswa kar diya 'akram' bhare bazar mein
sochta hun us se kya mera koi rishta na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.