samajh meñ kuchh nahīñ aatā mo.āmla dil kā
huzūr aa.eñ to ho jaa.e faisla dil kā
taḌap jo baḌh ga.ī māshūqoñ ne jigar thāme
asar dikhāyā to hone lagā gila dil kā
ye un se kahtā hai hañs hañs ke un kā dīvāna
dikhā.ūñgā tumheñ ik roz hausla dil kā
karīm tū mirī maqtal meñ aabrū rakhnā
ki un ke tiir se hogā muqābla dil kā
tumhārī zulf ke kūche meñ Dar hai luTne kā
añdherī raat hai jaatā hai qāfila dil kā
kisī ke nāvak-e-mizhgāñ ne kī ḳhalish paidā
ki phuuT phuuT ke rotā hai aabla dil kā
nikālā chāragaroñ ne ajab qayāmat kī
ki un ke tiir se rahtā thā mashġhala dil kā
abhī to tā-ba-kamar hai tumhārī zulf-e-rasā
baḌhe jo aur to mil jaa.e silsila dil kā
havā ke saath zamāne meñ aa.egā tūfāñ
jo saañs lene meñ phūTegā aabla dil kā
hai un kā tiir bhī vo bhī haiñ maiñ bhī hāzir huuñ
ḳhudā ke sāmne hotā hai faisla dil kā
usī ke dar pe chalo maut bhī vahīñ aa.e
ye mujh se kahtā hai baḌh baḌh ke hausla dil kā
'shafīq' zor-e-javānī kī had nahīñ koī
kisī ke roke se ruktā hai valvala dil kā
samajh mein kuchh nahin aata moamla dil ka
huzur aaen to ho jae faisla dil ka
taDap jo baDh gai mashuqon ne jigar thame
asar dikhaya to hone laga gila dil ka
ye un se kahta hai hans hans ke un ka diwana
dikhaunga tumhein ek roz hausla dil ka
karim tu meri maqtal mein aabru rakhna
ki un ke tir se hoga muqabla dil ka
tumhaari zulf ke kuche mein Dar hai luTne ka
andheri raat hai jata hai qafila dil ka
kisi ke nawak-e-mizhgan ne ki KHalish paida
ki phuT phuT ke rota hai aabla dil ka
nikala chaaragaron ne ajab qayamat ki
ki un ke tir se rahta tha mashghala dil ka
abhi to ta-ba-kamar hai tumhaari zulf-e-rasa
baDhe jo aur to mil jae silsila dil ka
hawa ke sath zamane mein aaega tufan
jo sans lene mein phuTega aabla dil ka
hai un ka tir bhi wo bhi hain main bhi hazir hun
KHuda ke samne hota hai faisla dil ka
usi ke dar pe chalo maut bhi wahin aae
ye mujh se kahta hai baDh baDh ke hausla dil ka
'shafiq' zor-e-jawani ki had nahin koi
kisi ke roke se rukta hai walwala dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.