samay kahan tha ki hum teri aarzu karte
samay kahāñ thā ki ham terī aarzū karte
hayāt biit ga.ī apnī justujū karte
talāsh-e-yār-e-tarahdār kū-ba-kū karte
taras gayā huuñ tamannā-e-rang-o-bū karte
jamāl dekh ke terā araq araq hotā
agar tujhe kabhī ham gul ke rū-barū karte
ye aur baat ki maiñ sarfarāz ho na sakā
tamām umr kaTī koshish-e-numū karte
tumhāre dil ke bharam aur bhed khul na sake
kabhī to ham se bhī tum khul ke guftugū karte
agar ye jānte ham terā dil na pighlegā
tirī talāsh meñ kyoñ apnā dil lahū karte
ba-faiz-e-hosh agar apnā ġham ġhalat hotā
kabhī na ārzū-e-sāġhar-o-subū karte
panap na paa.e rivāyat-parast suukh ga.e
qadīm rang kī taqlīd hū-bahū karte
duā-e-maġhfirat-e-dil qubūl ho jaatī
jo ashk-hā-e-nadāmat se ham vuzū karte
adā-e-nāz se komal badan kī ḳhushbū se
mujhe jo aap sar-afrāz surḳh-rū karte
hameñ urūj-o-farāz-e-junūñ kahāñ miltā
agar na ishq meñ nīlām aabrū karte
havas hamārī mohabbat se bhī ubhar aa.ī
kahāñ tak apnī kasāfat kī shust-o-shū karte
ba-rang-e-'mīr' chamak uThte ‘krishn-mohan’ ham
jo sarf ḳhuun ġhazal meñ kabhū kabhū karte
samay kahan tha ki hum teri aarzu karte
hayat bit gai apni justuju karte
talash-e-yar-e-tarahdar ku-ba-ku karte
taras gaya hun tamanna-e-rang-o-bu karte
jamal dekh ke tera araq araq hota
agar tujhe kabhi hum gul ke ru-baru karte
ye aur baat ki main sarfaraaz ho na saka
tamam umr kaTi koshish-e-numu karte
tumhaare dil ke bharam aur bhed khul na sake
kabhi to hum se bhi tum khul ke guftugu karte
agar ye jaante hum tera dil na pighlega
teri talash mein kyon apna dil lahu karte
ba-faiz-e-hosh agar apna gham ghalat hota
kabhi na aarzu-e-saghar-o-subu karte
panap na pae riwayat-parast sukh gae
qadim rang ki taqlid hu-bahu karte
dua-e-maghfirat-e-dil qubul ho jati
jo ashk-ha-e-nadamat se hum wuzu karte
ada-e-naz se komal badan ki KHushbu se
mujhe jo aap sar-afraaz surKH-ru karte
hamein uruj-o-faraaz-e-junun kahan milta
agar na ishq mein nilam aabru karte
hawas hamari mohabbat se bhi ubhar aai
kahan tak apni kasafat ki shust-o-shu karte
ba-rang-e-'mir' chamak uThte ‘krishn-mohan’ hum
jo sarf KHun ghazal mein kabhu kabhu karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.