sambhlen to machalte rahte hain
sambhleñ to machalte rahte haiñ
machleñ to sañbhalte rahte haiñ
ham log kaThin rāhoñ par bhī
hañste hue chalte rahte haiñ
is kaif-o-rang kī duniyā meñ
armān machalte rahte haiñ
nis-din apne man nainan meñ
kuchh sapne palte rahte haiñ
ye hastī hai har roz na.ī
ham āñkheñ malte rahte haiñ
ye sach hai apne zehn-o-dil
machleñ to bahalte rahte haiñ
ham sham.a kī sūrat rātoñ ko
be-ḳhvāb pighalte rahte haiñ
siine meñ āshāoñ ke diye
har rang meñ jalte rahte haiñ
jo har dam ranj-o-rāhat ke
sāñchoñ meñ Dhalte rahte haiñ
har rang hameñ raas aatā hai
yuuñ phūlte phalte rahte haiñ
rangoñ kā lutf uThāne ko
ham rang badalte rahte haiñ
pathrā.ī huī āñkhoñ se kyoñ
favvāre ubalte rahte haiñ
hairāñ huuñ sard ehsās se bhī
kyoñ sho.ale nikalte rahte haiñ
mere liye shītal bādal bhī
ik aag ugalte rahte haiñ
kyoñ vaqt kī lau sañvlāne ko
ham log machalte rahte haiñ
ham to lamhoñ ke patangoñ ko
din raat masalte rahte haiñ
ham 'krishn-mohan' mastī meñ
har aan machalte rahte haiñ
sambhlen to machalte rahte hain
machlen to sanbhalte rahte hain
hum log kaThin rahon par bhi
hanste hue chalte rahte hain
is kaif-o-rang ki duniya mein
arman machalte rahte hain
nis-din apne man nainan mein
kuchh sapne palte rahte hain
ye hasti hai har roz nai
hum aankhen malte rahte hain
ye sach hai apne zehn-o-dil
machlen to bahalte rahte hain
hum shama ki surat raaton ko
be-KHwab pighalte rahte hain
sine mein aashaon ke diye
har rang mein jalte rahte hain
jo har dam ranj-o-rahat ke
sanchon mein Dhalte rahte hain
har rang hamein ras aata hai
yun phulte phalte rahte hain
rangon ka lutf uThane ko
hum rang badalte rahte hain
pathrai hui aankhon se kyon
fawware ubalte rahte hain
hairan hun sard ehsas se bhi
kyon shoale nikalte rahte hain
mere liye shital baadal bhi
ek aag ugalte rahte hain
kyon waqt ki lau sanwlane ko
hum log machalte rahte hain
hum to lamhon ke patangon ko
din raat masalte rahte hain
hum 'krishn-mohan' masti mein
har aan machalte rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.