sannaTe ke shor se phir aawazon ka sahra chamka
sannaTe ke shor se phir aawazon ka sahra chamka
Syed Azhar Masood Rizvi
MORE BYSyed Azhar Masood Rizvi
sannāTe ke shor se phir āvāzoñ kā sahrā chamkā
zer-e-falak jo ab tak ḳhvābīda thā vo fitna chamkā
dasht-e-havā ke dosh pe vahshī ḳhushbū ne par phailā.e
rang havā bedār añgḌā.ī saañp ne lī sho.ala chamkā
patthar shīsha chāñdī sonā motī hiirā shams qamar
hairat vahshat ḳhaak samundar paikar ā.īna chamkā
shahr-e-siyāh pe TuuTī hoñgī kaisī kaisī talvāreñ
parda-e-ḳhvāb pe guzrā manzar be-chamke kyā kyā chamkā
sāhir lashkar sabr fasīl tak aa ke rajaz-ḳhvāñ hotā hai
tū bhī hisār-e-jāñ se nikal kar ḳhanjar-e-garm-navā chamkā
raat pahāḌ pe bijlī taḌpī patthar TuuTā aag lagī
pal-bhar ko mere kamre kī khiḌkī kā shīsha chamkā
kārobār jamā hai phir se tiir tabar talvāroñ kā
muddat se jo sard paḌā thā aahoñ kā dhandā chamkā
sannaTe ke shor se phir aawazon ka sahra chamka
zer-e-falak jo ab tak KHwabida tha wo fitna chamka
dasht-e-hawa ke dosh pe wahshi KHushbu ne par phailae
rang hawa bedar angDai sanp ne li shoala chamka
patthar shisha chandi sona moti hira shams qamar
hairat wahshat KHak samundar paikar aaina chamka
shahr-e-siyah pe TuTi hongi kaisi kaisi talwaren
parda-e-KHwab pe guzra manzar be-chamke kya kya chamka
sahir lashkar sabr fasil tak aa ke rajaz-KHwan hota hai
tu bhi hisar-e-jaan se nikal kar KHanjar-e-garm-nawa chamka
raat pahaD pe bijli taDpi patthar TuTa aag lagi
pal-bhar ko mere kamre ki khiDki ka shisha chamka
karobar jama hai phir se tir tabar talwaron ka
muddat se jo sard paDa tha aahon ka dhanda chamka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.