sar-e-bazm ungli uThane se pahle
sar-e-bazm uñglī uThāne se pahle
ḳhud ā.īna dekho dikhāne se pahle
na āvāz dūñgā zarā soch le tū
akelā mujhe chhoḌ jaane se pahle
duāoñ meñ apnī tū kar mujh ko shāmil
tū merī duāoñ meñ aane se pahle
kyoñ kahtā zamāna divāna tumheñ bhī
na milte agar is divāne se pahle
siyāsat ne us ko bachā kar hī rakkhā
vahī aag lekin bujhāne se pahle
samajh le ye duniyā baḌī sang-dil hai
tabassum laboñ par sajāne se pahle
samajh le ġhazal kā tū rang-e-taġhazzul
ġhazal apnī 'irfāñ' sunāne se pahle
sar-e-bazm ungli uThane se pahle
KHud aaina dekho dikhane se pahle
na aawaz dunga zara soch le tu
akela mujhe chhoD jaane se pahle
duaon mein apni tu kar mujh ko shamil
tu meri duaon mein aane se pahle
kyon kahta zamana diwana tumhein bhi
na milte agar is diwane se pahle
siyasat ne us ko bacha kar hi rakkha
wahi aag lekin bujhane se pahle
samajh le ye duniya baDi sang-dil hai
tabassum labon par sajaane se pahle
samajh le ghazal ka tu rang-e-taghazzul
ghazal apni 'irfan' sunane se pahle
- Book : حاشیےمیں نیکیاں (Pg. 43)
- Author : عرفانؔ شاہ نوری
- Publication : الفاظ پبلی کیشن، کامٹی (2021)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.