sarab-e-zist se bachna to bas ke bahar tha
sarāb-e-zīst se bachnā to bas ke bāhar thā
magar jo siine pe yādoñ kā saḳht patthar thā
ham apne aap se kuchh der guftugū kar leñ
tumhārī yaad na aatī to aaj behtar thā
na qāfila na ġhubār-e-safar na saaya koī
hamāre saath to jo kuchh thā dāman-e-tar thā
ḳhayāl-o-ḳhvāb se kyūñkar junūñ ko hosh aaya
tumhārā zikr thā yā zindagī kā nashtar thā
na jaane kis liye duniyā yahī samajhtī hai
na maiñ thā dard kā maarā na tū sitamgar thā
ḳhabar na thī ki taqāzā-e-zindagī kyā hai
kisī kī bazm pe ham ko gumān-e-mahshar thā
hayāt jaatī kahāñ kis se hotī dād-talab
dil-e-hayāt kā har zaḳhm ḳhud hī ḳhanjar thā
sarab-e-zist se bachna to bas ke bahar tha
magar jo sine pe yaadon ka saKHt patthar tha
hum apne aap se kuchh der guftugu kar len
tumhaari yaad na aati to aaj behtar tha
na qafila na ghubar-e-safar na saya koi
hamare sath to jo kuchh tha daman-e-tar tha
KHayal-o-KHwab se kyunkar junun ko hosh aaya
tumhaara zikr tha ya zindagi ka nashtar tha
na jaane kis liye duniya yahi samajhti hai
na main tha dard ka mara na tu sitamgar tha
KHabar na thi ki taqaza-e-zindagi kya hai
kisi ki bazm pe hum ko guman-e-mahshar tha
hayat jati kahan kis se hoti dad-talab
dil-e-hayat ka har zaKHm KHud hi KHanjar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.