sarshaar bhi karti hai ghazal leti hai jaan bhi
sarshār bhī kartī hai ġhazal letī hai jaañ bhī
ḳhushbū ke barābar se nikaltā hai dhuāñ bhī
hotī thiiñ kabhī shaam kī nīñdeñ bhī mayassar
āñkhoñ meñ guzar jaatī hai ab pahlī azaañ bhī
pahchān faqat nām-o-nasab se nahīñ hotī
shajre kā patā detī hai insāñ kī zabāñ bhī
kis tarah kiyā tū ne mohabbat kā izāla
puurā na huā mujh se to lamhoñ kā ziyāñ bhī
kuchh daḳhl nahīñ merā miyāñ kār-e-junūñ meñ
ab 'ishq pe hai mujh ko ye le jaa.e jahāñ bhī
is duniyā meñ kar mujh se na.e jazboñ kī ḳhvāhish
matrūk nahīñ chalte 'hasan' sikke yahāñ bhī
sarshaar bhi karti hai ghazal leti hai jaan bhi
KHushbu ke barabar se nikalta hai dhuan bhi
hoti thin kabhi sham ki ninden bhi mayassar
aankhon mein guzar jati hai ab pahli azan bhi
pahchan faqat nam-o-nasab se nahin hoti
shajre ka pata deti hai insan ki zaban bhi
kis tarah kiya tu ne mohabbat ka izala
pura na hua mujh se to lamhon ka ziyan bhi
kuchh daKHl nahin mera miyan kar-e-junun mein
ab 'ishq pe hai mujh ko ye le jae jahan bhi
is duniya mein kar mujh se nae jazbon ki KHwahish
matruk nahin chalte 'hasan' sikke yahan bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.