shaistagi-e-ishq ka dekhen to ye chalan
shā.istagī-e-ishq kā dekheñ to ye chalan
dāman pe aañch aa.ī nahīñ jal gayā badan
un kī karishma-sāz nigāhoñ kī baḳhshisheñ
kaafī thā ek phuul magar de diyā chaman
gar maqsad-e-hayāt ibādat hai sub.h-o-shām
phir ye jahān-e-shauq ye raunaq ye anjuman
idrāk-e-husn-e-zāt agar is ko kuchh nahīñ
phir aadmī hai apne liye ḳhud hī ahraman
jhelīñ haiñ ham ne ziist kī sau sau qabāhateñ
ham be-niyāz-e-ranj ko kyā daar kyā rasan
gulshan ke ḳhār-o-ḳhas ne rulāyā hai is qadar
gul kā bhī naam sun ke laraz jaatā hai badan
duniyā ke paas kyā hai hameñ is se kyā ġharaz
ham apnī aarzū ke khilaunoñ meñ haiñ magan
'shāriq' nahīñ mazāq ki rishta lahū kā hai
dekhī na jā.egī kabhī barbādī-e-chaman
shaistagi-e-ishq ka dekhen to ye chalan
daman pe aanch aai nahin jal gaya badan
un ki karishma-saz nigahon ki baKHshishen
kafi tha ek phul magar de diya chaman
gar maqsad-e-hayat ibaadat hai subh-o-sham
phir ye jahan-e-shauq ye raunaq ye anjuman
idrak-e-husn-e-zat agar is ko kuchh nahin
phir aadmi hai apne liye KHud hi ahraman
jhelin hain hum ne zist ki sau sau qabahaten
hum be-niyaz-e-ranj ko kya dar kya rasan
gulshan ke KHar-o-KHas ne rulaya hai is qadar
gul ka bhi nam sun ke laraz jata hai badan
duniya ke pas kya hai hamein is se kya gharaz
hum apni aarzu ke khilaunon mein hain magan
'shaariq' nahin mazaq ki rishta lahu ka hai
dekhi na jaegi kabhi barbaadi-e-chaman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.