sham se pahle lauT aane ki baat karo
shaam se pahle lauT aane kī baat karo
in logoñ ko Tarḳhāne kī baat karo
mere liye ta.amīr karo kyoñ tāj-mahal
mere liye ik kāshāne kī baat karo
aa.e ho to baiTh hī jaao fursat se
ab na kabhī vāpas jaane kī baat karo
un āñkhoñ ko misl-e-sitāra bhī na kaho
jaam kī mai kī paimāne kī baat karo
vo to mahalle tak aane se the bezār
un ko apne ghar laane kī baat karo
ham ko apne aap se logo bair nahīñ
tum hī un ke sharmāne kī baat karo
saath kisī din Thahroge tanhā.ī meñ
phir na mujhe tum bahlāne kī baat karo
maiñ is shahr meñ aaya thā begāna thā
mujh ko kabhī tum apnāne kī baat karo
aate jaate apnī umr kaTī 'īraj'
ab koī din sustāne kī baat karo
sham se pahle lauT aane ki baat karo
in logon ko TarKHane ki baat karo
mere liye tamir karo kyon taj-mahal
mere liye ek kashane ki baat karo
aae ho to baiTh hi jao fursat se
ab na kabhi wapas jaane ki baat karo
un aankhon ko misl-e-sitara bhi na kaho
jam ki mai ki paimane ki baat karo
wo to mahalle tak aane se the bezar
un ko apne ghar lane ki baat karo
hum ko apne aap se logo bair nahin
tum hi un ke sharmane ki baat karo
sath kisi din Thahroge tanhai mein
phir na mujhe tum bahlane ki baat karo
main is shahr mein aaya tha begana tha
mujh ko kabhi tum apnane ki baat karo
aate jate apni umr kaTi 'iraj'
ab koi din sustane ki baat karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.