shab ko uljhe the teri zulf-e-girah-gir se hum
shab ko uljhe the teri zulf-e-girah-gir se hum
Prem Lal Shifa Dehlvi
MORE BYPrem Lal Shifa Dehlvi
shab ko uljhe the tirī zulf-e-girah-gīr se ham
ab pareshān haiñ usī ḳhvāb kī ta.abīr se ham
tujh se ai dost tirā tarz-e-takallum sīkhā
ḳhāmushī siikh rahe haiñ tirī tasvīr se ham
farz kī qaid se dāman jo chhuḌā leñge kabhī
phir na roke se rukeñge kisī tadbīr se ham
ashk-e-rangīñ se banāte haiñ jo dil kī tasvīr
nuur bharte haiñ tire husn kī tanvīr se ham
terī bātoñ ko har andāz se parkhā ham ne
itne vārafta na the lazzat-e-taqrīr se ham
kī hai taqdīr badalne kī bhī sa.ī-e-paiham
haif majbūr rahe aap kī tahrīr se ham
shād-o-ābād raho haal hamārā pūchhā
aur kyā kahte 'shifā' us but-e-be-pīr se ham
shab ko uljhe the teri zulf-e-girah-gir se hum
ab pareshan hain usi KHwab ki tabir se hum
tujh se ai dost tera tarz-e-takallum sikha
KHamushi sikh rahe hain teri taswir se hum
farz ki qaid se daman jo chhuDa lenge kabhi
phir na roke se rukenge kisi tadbir se hum
ashk-e-rangin se banate hain jo dil ki taswir
nur bharte hain tere husn ki tanwir se hum
teri baaton ko har andaz se parkha hum ne
itne warafta na the lazzat-e-taqrir se hum
ki hai taqdir badalne ki bhi sai-e-paiham
haif majbur rahe aap ki tahrir se hum
shad-o-abaad raho haal hamara puchha
aur kya kahte 'shifa' us but-e-be-pir se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.