shahr-bhar mein mujhe aise na ghumaya jata
shahr-bhar meñ mujhe aise na ghumāyā jaatā
is mohabbat ko tamāshā na banāyā jaatā
maiñ ki jis chaak pe TuuTā thā tire hāthoñ se
kaash us chaak pe ab phir se banāyā jaatā
yaad rakhne kī aziyyat se guzarne ke liye
bhūlne kā bhī hunar mujh ko sikhāyā jaatā
dhuup hotī to mujhe itnī suhūlat rahtī
maiñ na jaatā bhī to us tak mirā saaya jaatā
ik na.e zaḳhm kī hai dil ko zarūrat 'adnān'
ab purāne se nahīñ kaam chalāyā jaatā
shahr-bhar mein mujhe aise na ghumaya jata
is mohabbat ko tamasha na banaya jata
main ki jis chaak pe TuTa tha tere hathon se
kash us chaak pe ab phir se banaya jata
yaad rakhne ki aziyyat se guzarne ke liye
bhulne ka bhi hunar mujh ko sikhaya jata
dhup hoti to mujhe itni suhulat rahti
main na jata bhi to us tak mera saya jata
ek nae zaKHm ki hai dil ko zarurat 'adnan'
ab purane se nahin kaam chalaya jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.