shahr-e-dil kash ki ek shahr-e-tamanna hota
shahr-e-dil kaash ki ik shahr-e-tamannā hotā
yaar is dasht meñ koī to sahārā hotā
maiñ tire shahr se guzrā huuñ to hangāma huā
gar tire paas Thahartā to bhalā kyā hotā
pā-ba-jaulāñ na sahī jaate magar ham bhī zarūr
sahn-e-maqtal ne hameñ bhī to pukārā hotā
shahr kā shahr tumheñ dekhne aayā huā hai
tum na aate to mirī jaan tamāshā hotā
chashm-e-pur-nam bhī agar had se tajāvuz kartī
ḳhema-e-ḳhvāb meñ ik shor sā barpā hotā
yuuñ sar-e-rāh tamāshā na banāte us kā
nok-e-neza pe agar koī tumhārā hotā
ham mohabbat meñ koī chaal jo chalte 'āsif'
vo jo kahne ko hamārā hai hamārā hotā
shahr-e-dil kash ki ek shahr-e-tamanna hota
yar is dasht mein koi to sahaara hota
main tere shahr se guzra hun to hangama hua
gar tere pas Thaharta to bhala kya hota
pa-ba-jaulan na sahi jate magar hum bhi zarur
sahn-e-maqtal ne hamein bhi to pukara hota
shahr ka shahr tumhein dekhne aaya hua hai
tum na aate to meri jaan tamasha hota
chashm-e-pur-nam bhi agar had se tajawuz karti
KHema-e-KHwab mein ek shor sa barpa hota
yun sar-e-rah tamasha na banate us ka
nok-e-neza pe agar koi tumhaara hota
hum mohabbat mein koi chaal jo chalte 'asif'
wo jo kahne ko hamara hai hamara hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.