sham ko apni wafa ka zarf dikhlane se hai
sham' ko apnī vafā kā zarf dikhlāne se hai
ek parvāne ko matlab jal ke mar jaane se hai
ashk piine se mire namkīn hai paanī yahāñ
ġham kī jo lazzat yahāñ hai mere ġham khāne se hai
mere hone se hī saare mai-kade ābād haiñ
sāġhar-o-mīnā kī mastī mere paimāne se hai
kuchh davā-dārū se us ko haif matlab hī nahīñ
mere chārāgar ko matlab dard baḌh jaane se hai
tere ġham kī sozisheñ haiñ mere ġham kī taab se
tere afsāne kī shohrat mere afsāne se hai
kaisī ye bāda-parastī hai tumhārī zāhido
mai to piinī hai magar parhez maiḳhāne se hai
sab pe taarī ḳhāmushī hai merī ḳhāmoshī ko sun
sab ke dil meñ shor barpā mere chillāne se hai
husn ko matlūb hai kuchh soz-o-sāz-e-'āshiqī
sham' kā charchā bhī āḳhir raqs-e-parvāne se hai
kal talak be-rang-o-bū the sab mire dīvār-o-dar
aaj āñgan meñ ye raunaq tere aa jaane se hai
mere hī fart-e-junūñ se zindagānī hai 'sahar'
aur sukūt-e-bazm-e-hastī mere mar jaane se hai
sham' ko apni wafa ka zarf dikhlane se hai
ek parwane ko matlab jal ke mar jaane se hai
ashk pine se mere namkin hai pani yahan
gham ki jo lazzat yahan hai mere gham khane se hai
mere hone se hi sare mai-kade aabaad hain
saghar-o-mina ki masti mere paimane se hai
kuchh dawa-daru se us ko haif matlab hi nahin
mere chaaragar ko matlab dard baDh jaane se hai
tere gham ki sozishen hain mere gham ki tab se
tere afsane ki shohrat mere afsane se hai
kaisi ye baada-parasti hai tumhaari zahido
mai to pini hai magar parhez maiKHane se hai
sab pe tari KHamushi hai meri KHamoshi ko sun
sab ke dil mein shor barpa mere chillane se hai
husn ko matlub hai kuchh soz-o-saz-e-'ashiqi
sham' ka charcha bhi aaKHir raqs-e-parwane se hai
kal talak be-rang-o-bu the sab mere diwar-o-dar
aaj aangan mein ye raunaq tere aa jaane se hai
mere hi fart-e-junun se zindagani hai 'sahar'
aur sukut-e-bazm-e-hasti mere mar jaane se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.