shikast-e-ruh se pahle sahar nahin hoti
shikast-e-rūh se pahle sahar nahīñ hotī
tamām umr shab-e-ġham basar nahīñ hotī
hujūm-e-yās ke maare hue kidhar jaa.eñ
har ek raah tirī rahguzar nahīñ hotī
ba-har-maqām vo rahte haiñ bā-ḳhabar ham se
aur is tarah ki hameñ bhī ḳhabar nahīñ hotī
kabhī asar ba-lihāz-e-duā nahīñ rahtā
kabhī duā hī ba-qadr-e-asar nahīñ hotī
ye inqilāb-e-zamāna ki dam-ba-dam paidā
ye zindagī ki idhar se udhar nahīñ hotī
tulū-e-sub.h kī ummīd ne hameñ 'ishrat'
vo raat dī jo kisī se basar nahīñ hotī
shikast-e-ruh se pahle sahar nahin hoti
tamam umr shab-e-gham basar nahin hoti
hujum-e-yas ke mare hue kidhar jaen
har ek rah teri rahguzar nahin hoti
ba-har-maqam wo rahte hain ba-KHabar hum se
aur is tarah ki hamein bhi KHabar nahin hoti
kabhi asar ba-lihaz-e-dua nahin rahta
kabhi dua hi ba-qadr-e-asar nahin hoti
ye inqilab-e-zamana ki dam-ba-dam paida
ye zindagi ki idhar se udhar nahin hoti
tulu-e-subh ki ummid ne hamein 'ishrat'
wo raat di jo kisi se basar nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.