shor karta hai jo dil us ka badal kahne de
shor kartā hai jo dil us kā badal kahne de
kaam sau kar liye ab yaar ġhazal kahne de
ḳhasta-hālī ko tirī maan liyā Thiik hai chal
gul nahīñ to mujhe tujh ko tū kañval kahne de
saath haiñ ham to kaheñge hī ka.ī bāteñ log
kahne vāloñ ko haTā yaar nikal kahne de
vo mohabbat hai vo hī us kī nishānī hai 'azīz'
is liye mujh ko use tāj-mahal kahne de
shor karta hai jo dil us ka badal kahne de
kaam sau kar liye ab yar ghazal kahne de
KHasta-haali ko teri man liya Thik hai chal
gul nahin to mujhe tujh ko tu kanwal kahne de
sath hain hum to kahenge hi kai baaten log
kahne walon ko haTa yar nikal kahne de
wo mohabbat hai wo hi us ki nishani hai 'aziz'
is liye mujh ko use taj-mahal kahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.