sina hai purze purze ja-e-rafu nahin yan
sina hai purze purze ja-e-rafu nahin yan
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
siina hai purze purze jā-e-rafū nahīñ yaañ
Tāñke lagāveñ kis ko dil kī to bū nahīñ yaañ
saaqī hai sarv-o-gul hai mutrib hai aur tarāna
afsos ik yahī hai aise meñ tū nahīñ yaañ
har-chand tū hamesha pesh-e-nazar hai is par
chhuT terī justujū ke kuchh justujū nahīñ yaañ
majlis se apnī gul ko bhijvā de phir chaman meñ
kis vāste ki us kā vo rañg-o-bū nahīñ yaañ
hairān huuñ ki kiije kis se surāġh-e-ishrat
mātam-kada hai aalam juz-hā.e-o-hū nahīñ yaañ
jo aarzū diloñ meñ muzmar hai sāhiboñ ke
hai aarzū to lekin vo aarzū nahīñ yaañ
aa.e the ham chaman meñ sun kar tirī ḳhabar ko
phir kyā kareñge rah kar zālim jo tū nahīñ yaañ
ahl-e-suḳhan kā yā-rab kyuuñ mohtasib hai dushman
click o davāt hai kuchh jām-o-subū nahīñ yaañ
qurbāniyān-e-ulfat sab sar kaTe paḌe haiñ
shamshīr ke havāle kis kā gulū nahīñ yaañ
majlis meñ terī Thahre kyā 'mus.hafī' ki nādāñ
ġhair-e-az-abe-tabe to kuchh guftugū nahīñ yaañ
sina hai purze purze ja-e-rafu nahin yan
Tanke lagawen kis ko dil ki to bu nahin yan
saqi hai sarw-o-gul hai mutrib hai aur tarana
afsos ek yahi hai aise mein tu nahin yan
har-chand tu hamesha pesh-e-nazar hai is par
chhuT teri justuju ke kuchh justuju nahin yan
majlis se apni gul ko bhijwa de phir chaman mein
kis waste ki us ka wo rang-o-bu nahin yan
hairan hun ki kije kis se suragh-e-ishrat
matam-kada hai aalam juz-hae-o-hu nahin yan
jo aarzu dilon mein muzmar hai sahibon ke
hai aarzu to lekin wo aarzu nahin yan
aae the hum chaman mein sun kar teri KHabar ko
phir kya karenge rah kar zalim jo tu nahin yan
ahl-e-suKHan ka ya-rab kyun mohtasib hai dushman
click o dawat hai kuchh jam-o-subu nahin yan
qurbaniyan-e-ulfat sab sar kaTe paDe hain
shamshir ke hawale kis ka gulu nahin yan
majlis mein teri Thahre kya 'mushafi' ki nadan
ghair-e-az-abe-tabe to kuchh guftugu nahin yan
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(Vol-4)(pdf) (Pg. 209)
- Author : Ghulam hamdani Mashafi
- Publication : Qaumi council baraye -farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.