Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sipah-e-ishrat pe fauj-e-gham ne jo mil ke markab baham uThae

Baqaullah 'Baqa'

sipah-e-ishrat pe fauj-e-gham ne jo mil ke markab baham uThae

Baqaullah 'Baqa'

MORE BYBaqaullah 'Baqa'

    sipāh-e-ishrat pe fauj-e-ġham ne jo mil ke markab baham uThā.e

    idhar to naale tāshā kaḌkā udhar fuġhāñ ne alam uThā.e

    is ashk o laḳht-e-jigar se ik faqat na mardum ko fā.eda hai

    jo dur ke role adad kisī ne to la.al ke bhī raqam uThā.e

    sabab raqīboñ ke bazm meñ ab ga.ī vo aapas ham-nashīnī

    ham aan baiThe to uTh gayā vo vo aan baiThā to ham uTh aa.e

    tahī-kaf aa.e the ham adam se chale bhī yaañ se to dast-e-ḳhālī

    na tosha vaañ se liyā thā zar na saath yaañ se diram uThā.e

    'baqā' jo raahī hue adam ke to vaqfa hargiz karo na dam

    ye raah hastī pur-ḳhatar hai chalo yahāñ se qadam uThā.e

    sipah-e-ishrat pe fauj-e-gham ne jo mil ke markab baham uThae

    idhar to nale ka tasha kaDka udhar fughan ne alam uThae

    is ashk o laKHt-e-jigar se ek hi faqat na mardum ko faeda hai

    jo dur ke role adad kisi ne to lal ke bhi raqam uThae

    sabab raqibon ke bazm mein ab gai wo aapas ki ham-nashini

    hum aan baiThe to uTh gaya wo wo aan baiTha to hum uTh aae

    tahi-kaf aae the hum adam se chale bhi yan se to dast-e-KHali

    na tosha wan se liya tha zar ka na sath yan se diram uThae

    'baqa' jo rahi hue adam ke to waqfa hargiz karo na dam ka

    ye rah hasti ki pur-KHatar hai chalo yahan se qadam uThae

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now