soz-e-dil aah-e-sharar-bar se pahchante hain
soz-e-dil aah-e-sharar-bar se pahchante hain
Mansha ur Rahman Khan Mansha
MORE BYMansha ur Rahman Khan Mansha
soz-e-dil āh-e-sharar-bār se pahchānte haiñ
log tūfān ko āsār se pahchānte haiñ
hausla kahte haiñ ik rāh-e-amal detā hai
hashr ko ham tirī raftār se pahchānte haiñ
rang-e-mai rang-e-shafaq rang-e-guhar rang-e-gulāb
tere rang-e-lab-o-ruḳhsār se pahchānte haiñ
apnī qismat ke ḳham-o-pech ko ham dīvāne
tere hī gesū-e-ḳhamdār se pahchānte haiñ
ahl-e-dil ahl-e-jigar ahl-e-nazar ahl-e-vafā
ham ko shauq-e-rasan-o-dār se pahchānte haiñ
gardish-e-charḳh kā ruḳh ho ki zamāne kā mizāj
sirf ham dīda-e-bedār se pahchānte haiñ
aur haiñ vo jo zar-o-sīm pe rakhte haiñ nazar
ham to insān ko kirdār se pahchānte haiñ
husn vāloñ kī ye ḳhūbī hai ki dil vāloñ ko
ik nazar hī meñ baḌe pyaar se pahchānte haiñ
shā.irī kā ye karam kam to nahīñ hai 'manshā'
log tujh ko tire ash.ār se pahchānte haiñ
soz-e-dil aah-e-sharar-bar se pahchante hain
log tufan ko aasar se pahchante hain
hausla kahte hain ek rah-e-amal deta hai
hashr ko hum teri raftar se pahchante hain
rang-e-mai rang-e-shafaq rang-e-guhar rang-e-gulab
tere rang-e-lab-o-ruKHsar se pahchante hain
apni qismat ke KHam-o-pech ko hum diwane
tere hi gesu-e-KHamdar se pahchante hain
ahl-e-dil ahl-e-jigar ahl-e-nazar ahl-e-wafa
hum ko shauq-e-rasan-o-dar se pahchante hain
gardish-e-charKH ka ruKH ho ki zamane ka mizaj
sirf hum dida-e-bedar se pahchante hain
aur hain wo jo zar-o-sim pe rakhte hain nazar
hum to insan ko kirdar se pahchante hain
husn walon ki ye KHubi hai ki dil walon ko
ek nazar hi mein baDe pyar se pahchante hain
shairi ka ye karam kam to nahin hai 'mansha'
log tujh ko tere ashaar se pahchante hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.