suKHanwari ka ye be-sud karobar hai kya
suḳhanvarī kā ye be-sūd kārobār hai kyā
junūn-e-shīsha-garī kā ma.āl-e-kār hai kyā
vo har chaman ko miTāne ko be-qarār hai kyā
use guloñ kā tabassum bhī nāgavār hai kyā
na jaane kaun sī bastī pe mehrbāñ ho jaa.e
darāz-dastī-e-daurāñ kā e'tibār hai kyā
zamāna ho gayā jis kārvāñ ko chhoḌe hue
ab us kā zikr masāfat meñ baar baar hai kyā
havā.eñ aap badal deñgī rāsta apnā
isī umiid pe jiine kā inhisār hai kyā
ye raah ḳhair kī vo shar kī ek ko chun lo
miyāñ khaḌe ho dorāhe pe kyoñ shumār hai kyā
nafas nafas hai fuzūñ bāzgasht-ex-bāñg-e-jaras
chal ai asīr-e-havas chal de intizār hai kyā
sitam kā shahr bhī Duubā hai āñsuoñ meñ kabhī
ravāñ in āñkhoñ se paiham ye ābshār hai kyā
'sahar' ye rāste kyoñ ajnabī se lagte haiñ
jahāñ ye 'umr kaTī ye vahī dayār hai kyā
suKHanwari ka ye be-sud karobar hai kya
junun-e-shisha-gari ka maal-e-kar hai kya
wo har chaman ko miTane ko be-qarar hai kya
use gulon ka tabassum bhi nagawar hai kya
na jaane kaun si basti pe mehrban ho jae
daraaz-dasti-e-dauran ka e'tibar hai kya
zamana ho gaya jis karwan ko chhoDe hue
ab us ka zikr masafat mein bar bar hai kya
hawaen aap badal dengi rasta apna
isi umid pe jine ka inhisar hai kya
ye rah KHair ki wo shar ki ek ko chun lo
miyan khaDe ho dorahe pe kyon shumar hai kya
nafas nafas hai fuzun bazgasht-ex-bang-e-jaras
chal ai asir-e-hawas chal de intizar hai kya
sitam ka shahr bhi Duba hai aansuon mein kabhi
rawan in aankhon se paiham ye aabshaar hai kya
'sahar' ye raste kyon ajnabi se lagte hain
jahan ye 'umr kaTi ye wahi dayar hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.