sunaen ja ke kise apni dastan hum tum
sunā.eñ jā ke kise apnī dāstāñ ham tum
ḳhud apnā raaz haiñ ḳhud apne rāz-dāñ ham tum
ab aa mile haiñ to ik dūsre meñ kho jaa.eñ
bhaTak chuke haiñ bahut din yahāñ vahāñ ham tum
sameT laa.e haiñ ḳhud ko to dhyān aatā hai
bikhar ga.e the na jaane kahāñ kahāñ ham tum
qadam qadam pe vo duniyā kī āzmā.ish thī
ki le rahe the ḳhud apnā hī imtihāñ ham tum
haqīqatoñ se to ye ḳhvāb ḳhūbsūrat haiñ
guzār deñ inhīñ ḳhvāboñ ke darmiyāñ ham tum
safar meñ us kā ye kahnā thā har qadam pe 'nasīm'
ki rahguzar ko banā deñge kahkashāñ ham tum
sunaen ja ke kise apni dastan hum tum
KHud apna raaz hain KHud apne raaz-dan hum tum
ab aa mile hain to ek dusre mein kho jaen
bhaTak chuke hain bahut din yahan wahan hum tum
sameT lae hain KHud ko to dhyan aata hai
bikhar gae the na jaane kahan kahan hum tum
qadam qadam pe wo duniya ki aazmaish thi
ki le rahe the KHud apna hi imtihan hum tum
haqiqaton se to ye KHwab KHubsurat hain
guzar den inhin KHwabon ke darmiyan hum tum
safar mein us ka ye kahna tha har qadam pe 'nasim'
ki rahguzar ko bana denge kahkashan hum tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.