tasir ki tarah kabhi tabir ki tarah
tāsīr kī tarah kabhī ta.abīr kī tarah
tum mil ga.e mujhe mirī taqdīr kī tarah
is shahr-e-dil pe aap kā qabza rahe sadā
āzād ho na pā.ūñ maiñ kashmīr kī tarah
maiñ ne zamāne-bhar ke luTeroñ kī aañkh se
tum ko chhupā ke rakkhā hai jāgīr kī tarah
tere laboñ ko dekh ke suntā huuñ maiñ tujhe
terā sukūt hotā hai taqrīr kī tarah
tū jāntā nahīñ hai vo chup-chāp aadmī
muñh meñ zabān rakhtā hai shamshīr kī tarah
chhoḌā nahīñ hai aaj bhī masrūfiyāt ne
itvār lag rahā hai mujhe piir kī tarah
kyā ho sakegā koī tumhārī tarah 'razā'
tum to nahīñ ho apnī hī tasvīr kī tarah
tasir ki tarah kabhi tabir ki tarah
tum mil gae mujhe meri taqdir ki tarah
is shahr-e-dil pe aap ka qabza rahe sada
aazad ho na paun main kashmir ki tarah
main ne zamane-bhar ke luTeron ki aankh se
tum ko chhupa ke rakkha hai jagir ki tarah
tere labon ko dekh ke sunta hun main tujhe
tera sukut hota hai taqrir ki tarah
tu jaanta nahin hai wo chup-chap aadmi
munh mein zaban rakhta hai shamshir ki tarah
chhoDa nahin hai aaj bhi masrufiyat ne
itwar lag raha hai mujhe pir ki tarah
kya ho sakega koi tumhaari tarah 'raza'
tum to nahin ho apni hi taswir ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.