tasawwur mein bhi jis ki justuju karta hai dil mera
tasawwur mein bhi jis ki justuju karta hai dil mera
Abdul Hafeez Sahil Qadri
MORE BYAbdul Hafeez Sahil Qadri
tasavvur meñ bhī jis kī justujū kartā hai dil merā
usī se hijr meñ bhī guftugū kartā hai dil merā
nadāmat se gunāhoñ par jo rotī haiñ kabhī āñkheñ
inhī pākīza ashkoñ se vuzū kartā hai dil merā
tirī yādoñ ke ḳhanjar zehn ko jab chaak karte haiñ
use jhūTī tasallī se rafū kartā hai dil merā
jasārat dekhne kī jis ko koī bhī nahīñ kartā
usī se do-do bāteñ rū-ba-rū kartā hai dil merā
guzāre the jo mad-hoshī ke aalam meñ kabhī 'sāhil'
unhī lamhoñ kī phir se aarzū kartā hai dil merā
tasawwur mein bhi jis ki justuju karta hai dil mera
usi se hijr mein bhi guftugu karta hai dil mera
nadamat se gunahon par jo roti hain kabhi aankhen
inhi pakiza ashkon se wuzu karta hai dil mera
teri yaadon ke KHanjar zehn ko jab chaak karte hain
use jhuTi tasalli se rafu karta hai dil mera
jasarat dekhne ki jis ko koi bhi nahin karta
usi se do-do baaten ru-ba-ru karta hai dil mera
guzare the jo mad-hoshi ke aalam mein kabhi 'sahil'
unhi lamhon ki phir se aarzu karta hai dil mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.