tasawwur mein saja kar KHushnuma taswir rakhte hain
tasavvur meñ sajā kar ḳhushnumā tasvīr rakhte haiñ
ham apne ḳhvāb kī dahlīz pe tā۔bīr rakhte haiñ
banī hai kis tarah jannat jahannum ik nazar dekho
tumhāre sāmne ham vādī-e-kashmīr rakhte haiñ
vo sarkash hai agar mauqa mile fitna khaḌā kar de
ham apne nafs ko pā-basta-e-zanjīr rakhte haiñ
hai apnā har amal taqdīr kī āñdhī se sharminda
agarche ham jalā kar mash.al-e-tadbīr rakhte haiñ
giregī bil-yaqīñ sar par kisī din chhat masā.ib kī
agar ham hausloñ ke khokhle shahtīr rakhte haiñ
makīn-e-qasr ho kar tum sukūn-e-dil nahīñ rakhte
yahāñ ham ho ke be-ghar chain kī jāgīr rakhte haiñ
kisī ke dil meñ kyā hai chehre se zāhir nahīñ hotā
vo andar aur bāhar muḳhtalif tasvīr rakhte haiñ
zamāna atomī hathiyār se hai lais lekin ham
gharoñ meñ zang-ālūda vahī shamshīr rakhte haiñ
hameñ kotāh-fahmī ek pal bhātī nahīñ 'ahsan'
hamārī soch raushan hai bahut tanvīr rakhte haiñ
tasawwur mein saja kar KHushnuma taswir rakhte hain
hum apne KHwab ki dahliz pe ta۔bir rakhte hain
bani hai kis tarah jannat jahannum ek nazar dekho
tumhaare samne hum wadi-e-kashmir rakhte hain
wo sarkash hai agar mauqa mile fitna khaDa kar de
hum apne nafs ko pa-basta-e-zanjir rakhte hain
hai apna har amal taqdir ki aandhi se sharminda
agarche hum jala kar mashal-e-tadbir rakhte hain
giregi bil-yaqin sar par kisi din chhat masaib ki
agar hum hauslon ke khokhle shahtir rakhte hain
makin-e-qasr ho kar tum sukun-e-dil nahin rakhte
yahan hum ho ke be-ghar chain ki jagir rakhte hain
kisi ke dil mein kya hai chehre se zahir nahin hota
wo andar aur bahar muKHtalif taswir rakhte hain
zamana atomi hathiyar se hai lais lekin hum
gharon mein zang-aluda wahi shamshir rakhte hain
hamein kotah-fahmi ek pal bhati nahin 'ahsan'
hamari soch raushan hai bahut tanwir rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.