tawajjoh kaun deta hai kisi phiki kahani par
tavajjoh kaun detā hai kisī phīkī kahānī par
ham aise meñ kareñ kyā baat apnī zindagānī par
laboñ par ho tabassum aur āñkhoñ meñ na ho paanī
hameñ hairat huā kartī hai aisī shādmānī par
hameñ sūrat badalne kā bharosā kis tarah hogā
ragoñ meñ ḳhuun ke badle ravāñ kuchh buuñd paanī par
nayā kuchh bhī nahīñ hotā ki sab jaate haiñ duniyā se
magar hairāñ bahut haiñ log terī nauha-ḳhvānī par
kisī ke dukh pe us ke qahqahoñ meñ jaan aatī hai
vo tābinda hai ġhairoñ ke ġhamoñ kī tarjumānī par
ham apnā bhī bhalā 'bebāk' sāhab kar to sakte haiñ
magar sab chhoḌ dete haiñ tumhārī mehrbānī par
tawajjoh kaun deta hai kisi phiki kahani par
hum aise mein karen kya baat apni zindagani par
labon par ho tabassum aur aankhon mein na ho pani
hamein hairat hua karti hai aisi shadmani par
hamein surat badalne ka bharosa kis tarah hoga
ragon mein KHun ke badle rawan kuchh bund pani par
naya kuchh bhi nahin hota ki sab jate hain duniya se
magar hairan bahut hain log teri nauha-KHwani par
kisi ke dukh pe us ke qahqahon mein jaan aati hai
wo tabinda hai ghairon ke ghamon ki tarjumani par
hum apna bhi bhala 'bebak' sahab kar to sakte hain
magar sab chhoD dete hain tumhaari mehrbani par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.