tazad-e-zat mein chhupte hue chhupate hue
tazād-e-zāt meñ chhupte hue chhupāte hue
maiñ thak gayā huuñ bahut zindagī nibhāte hue
ḳhudā karīm mirī āḳhirī umiid kī ḳhair
nujūmī ḳhauf meñ thā zā.icha banāte hue
bikher shaam kī zulfeñ sameT le sūraj
ik umr ho ga.ī hai dhuup meñ nahāte hue
udaas logoñ kā murshid hameñ banāyā gayā
qubūl kar liyā ham ne bhī muskurāte hue
gumān aise thapeḌoñ ke saath aayā thā
yaqīn Duub gayā hausla baḌhāte hue
faqat sitāre nahīñ raushnī kā bojh bhī thā
zamīn kaañp uThī āsmāñ uThāte hue
tazad-e-zat mein chhupte hue chhupate hue
main thak gaya hun bahut zindagi nibhate hue
KHuda karim meri aaKHiri umid ki KHair
nujumi KHauf mein tha zaicha banate hue
bikher sham ki zulfen sameT le suraj
ek umr ho gai hai dhup mein nahate hue
udas logon ka murshid hamein banaya gaya
qubul kar liya hum ne bhi muskuraate hue
guman aise thapeDon ke sath aaya tha
yaqin Dub gaya hausla baDhate hue
faqat sitare nahin raushni ka bojh bhi tha
zamin kanp uThi aasman uThate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.