tere jaane se hua dil dasht-e-viran ki tarah
tere jaane se huā dil dasht-e-vīrāñ kī tarah
shahr saarā lagtā hai ujḌe gulistāñ kī tarah
maiñ ne māñgā hai du'āoñ meñ tumheñ taqdīr se
tum dil-o-jāñ meñ base ho jān-e-jānāñ kī tarah
qalb-e-muztar meñ tire dīdār kī hasrat liye
bas tirī dahlīz par baiThā huuñ darbāñ kī tarah
maiñ ne kyā kyā ḳhvāb dekhe haiñ tumhārī diid ke
baam par aao kabhī tum māh-e-tābāñ kī tarah
ġhair ko bosa-zanī karte hue dekhā hai jab
aa.ina taktā rahā huuñ maiñ pashemāñ kī tarah
rasm-e-ulfat se nahīñ ho āshnā tum bevafā
tum vafā bhī karte ho to ek ehsāñ kī tarah
kyā batā.ūñ kaise samjhā.ūñ masā.il kitne haiñ
zindagī uljhī huī hai zulf-e-pechāñ kī tarah
harsū ranj-o-ġham kā 'ālam aur afrā-tafrī hai
shor barpā hai yahāñ shām-e-ġharībāñ kī tarah
saarī duniyā dekhī maiñ ne jasta jasta bā-ḳhudā
koī chehra hī nahīñ aayā nazar maañ kī tarah
zindagī ne aisī karvaT lī hai 'ash.har' kyā kahūñ
ab to apne ghar meñ bhī rahtā huuñ mehmāñ kī tarah
tere jaane se hua dil dasht-e-viran ki tarah
shahr sara lagta hai ujDe gulistan ki tarah
main ne manga hai du'aon mein tumhein taqdir se
tum dil-o-jaan mein base ho jaan-e-jaanan ki tarah
qalb-e-muztar mein tere didar ki hasrat liye
bas teri dahliz par baiTha hun darban ki tarah
main ne kya kya KHwab dekhe hain tumhaari did ke
baam par aao kabhi tum mah-e-taban ki tarah
ghair ko bosa-zani karte hue dekha hai jab
aaina takta raha hun main pasheman ki tarah
rasm-e-ulfat se nahin ho aashna tum bewafa
tum wafa bhi karte ho to ek ehsan ki tarah
kya bataun kaise samjhaun masail kitne hain
zindagi uljhi hui hai zulf-e-pechan ki tarah
harsu ranj-o-gham ka 'alam aur afra-tafri hai
shor barpa hai yahan sham-e-ghariban ki tarah
sari duniya dekhi main ne jasta jasta ba-KHuda
koi chehra hi nahin aaya nazar man ki tarah
zindagi ne aisi karwaT li hai 'ashhar' kya kahun
ab to apne ghar mein bhi rahta hun mehman ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.