tumko wafa se kya matlab hai jao apna kaam karo
tum ko vafā se kyā matlab hai jaao apnā kaam karo
din-bhar bhaTke āvāra se ab jā kar ārām karo
kab rokā hai maiñ ne tum ko merī bāteñ karne se
naam agar hotā hai tumhārā to mujh ko badnām karo
jaane vāloñ ko jaanā hai kab aate haiñ lauT ke phir
sar phoḌo yādoñ meñ un kī ro ke sahar se shaam karo
kyā rakkhā hai is kī us kī terī merī karne se
ḳhud se mileñge baat banegī ḳhud ko na yuuñ dushnām karo
ahl-e-ḳhirad se kuchh nahīñ bantā har jānib kohrām machā
aisā karo sab zehnoñ meñ apne dil rakhne kā kaam karo
tum ko wafa se kya matlab hai jao apna kaam karo
din-bhar bhaTke aawara se ab ja kar aaram karo
kab roka hai main ne tum ko meri baaten karne se
nam agar hota hai tumhaara to mujh ko badnam karo
jaane walon ko jaana hai kab aate hain lauT ke phir
sar phoDo yaadon mein un ki ro ke sahar se sham karo
kya rakkha hai is ki us ki teri meri karne se
KHud se milenge baat banegi KHud ko na yun dushnam karo
ahl-e-KHirad se kuchh nahin banta har jaanib kohram macha
aisa karo sab zehnon mein apne dil rakhne ka kaam karo
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 224)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.