tumhaari zulf ka dil se muqabla na gaya
tumhaari zulf ka dil se muqabla na gaya
Abul Baqa Sabr Saharanpuri
MORE BYAbul Baqa Sabr Saharanpuri
tumhārī zulf kā dil se muqābla na gayā
hamāre sar se ye saudā ye silsila na gayā
agarche jaañ se ga.e bārhā mohabbat meñ
shikast-e-fāsh pe bhī vaise hausla na gayā
haTā ke zulf-e-pareshāñ vo ruḳh se yuuñ bole
kabhī ye shām-o-sahar hī kā fāsla na gayā
havā-e-bāda-e-māshūq ab bhī baaqī hai
shabāb jaane pe bhī dil kā valvala na gayā
bujhā.ī pyaas na kab is se ḳhār-e-sahrā kī
maiñ apne paañv kā kab le ke aabla na gayā
yahāñ jafā kā vafā kā vahāñ rahā shikva
hamāre un ke diloñ se yahī gila na gayā
yahāñ hamesha ajal Dāltī rahī Daakā
adam ko kaun se din luT ke qāfila na gayā
tirī hī teġh-e-jafā ke ye nīm-bismil haiñ
dil-o-jigar kā kabhī kar ke faisla na gayā
nikal gayā thā vo khoTā hamārā dil le kar
hamīñ khare the jo us se mo.āmla na gayā
jo dil kā chaak siyā to jigar huā TukḌe
tamām umr yahī apnā mashġhala na gayā
vazīfa-ḳhvār hai ye bārgāh kā us kī
ḳhudā ke ghar se kabhī 'sabr' kā sila na gayā
tumhaari zulf ka dil se muqabla na gaya
hamare sar se ye sauda ye silsila na gaya
agarche jaan se gae barha mohabbat mein
shikast-e-fash pe bhi waise hausla na gaya
haTa ke zulf-e-pareshan wo ruKH se yun bole
kabhi ye sham-o-sahar hi ka fasla na gaya
hawa-e-baada-e-mashuq ab bhi baqi hai
shabab jaane pe bhi dil ka walwala na gaya
bujhai pyas na kab is se KHar-e-sahra ki
main apne panw ka kab le ke aabla na gaya
yahan jafa ka wafa ka wahan raha shikwa
hamare un ke dilon se yahi gila na gaya
yahan hamesha ajal Dalti rahi Daka
adam ko kaun se din luT ke qafila na gaya
teri hi tegh-e-jafa ke ye nim-bismil hain
dil-o-jigar ka kabhi kar ke faisla na gaya
nikal gaya tha wo khoTa hamara dil le kar
hamin khare the jo us se moamla na gaya
jo dil ka chaak siya to jigar hua TukDe
tamam umr yahi apna mashghala na gaya
wazifa-KHwar hai ye bargah ka us ki
KHuda ke ghar se kabhi 'sabr' ka sila na gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.