tumhein mil kar bhi aksar dil ke arman dil mein rahte hain
tumhein mil kar bhi aksar dil ke arman dil mein rahte hain
Sahir Siyalkoti
MORE BYSahir Siyalkoti
tumheñ mil kar bhī aksar dil ke armāñ dil meñ rahte haiñ
tumhāre chāhne vaale baḌī mushkil meñ rahte haiñ
use nāshād karne kā use barbād karne kā
gila hai to unhīñ se hai jo mere dil meñ rahte haiñ
razākārān-e-ulfat maut se hargiz nahīñ Darte
hameñ dekho ki har dam kūcha-e-qātil meñ rahte haiñ
junūñ kī ḳhām-kārī chain lene hī nahīñ detī
ham un ko DhūñDte haiñ jo hamāre dil meñ rahte haiñ
talāsh-e-yār kī fursat agar hogī to kar leñge
abhī to raat din ham justujū-e-dil meñ rahte haiñ
kabhī to ġhaur kar leñ qissa-e-ḳhizr-o-sikandar par
vo rahrav jo talāsh-e-rahbar-e-kāmil meñ rahte haiñ
hamīñ ko ai ḳhudā kuchh ho gayā hai yā zamāne ko
hamāre hī gile-shikve har ik mahfil meñ rahte haiñ
dil-e-bīmār kī hālat na badlī hai na badlegī
hamāre chārāgar kyoñ sa.i-e-lā-hāsil meñ rahte haiñ
dil-e-nādāñ kī aadat se bahut bezār huuñ 'sāhir'
ye hazrat har-ghaḌī ik fikr-e-lā-hāsil meñ rahte haiñ
tumhein mil kar bhi aksar dil ke arman dil mein rahte hain
tumhaare chahne wale baDi mushkil mein rahte hain
use nashad karne ka use barbaad karne ka
gila hai to unhin se hai jo mere dil mein rahte hain
razakaran-e-ulfat maut se hargiz nahin Darte
hamein dekho ki har dam kucha-e-qatil mein rahte hain
junun ki KHam-kari chain lene hi nahin deti
hum un ko DhunDte hain jo hamare dil mein rahte hain
talash-e-yar ki fursat agar hogi to kar lenge
abhi to raat din hum justuju-e-dil mein rahte hain
kabhi to ghaur kar len qissa-e-KHizr-o-sikandar par
wo rahraw jo talash-e-rahbar-e-kaamil mein rahte hain
hamin ko ai KHuda kuchh ho gaya hai ya zamane ko
hamare hi gile-shikwe har ek mahfil mein rahte hain
dil-e-bimar ki haalat na badli hai na badlegi
hamare chaaragar kyon sai-e-la-hasil mein rahte hain
dil-e-nadan ki aadat se bahut bezar hun 'sahir'
ye hazrat har-ghaDi ek fikr-e-la-hasil mein rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.