tumhein shauq-e-manzil mein chalna paDega
tumhein shauq-e-manzil mein chalna paDega
Talat Siddiqi Nahtori
MORE BYTalat Siddiqi Nahtori
tumheñ shauq-e-manzil meñ chalnā paḌegā
gire ho to gir kar sañbhalnā paḌegā
jahāñ meñ vafā kā chalan aam kar ke
nizām-e-jafā ko badalnā paḌegā
guhar-hā-e-maqsūd gar chāhte ho
havādis ke tūfāñ meñ palnā paḌegā
bachānī hai tūfāñ se gar apnī kashtī
havāoñ ke ruḳh ko badalnā paḌegā
nahīñ mai-kade meñ koī nazm baaqī
hameñ apnā saaqī badalnā paḌegā
na gar ḳhvāb-e-ġhaflat se chauñke to tum ko
nadāmat se hāthoñ ko malnā paḌegā
jahālat ta.assub va firqa-parastī
ye daldal hai is se nikalnā paḌegā
the ham raunaq-e-bazm ye kyā ḳhabar thī
kabhī sham.a ban kar pighalnā paḌegā
jinhoñ ne sajā.ī thī ye terī mahfil
ġhazab hai unhī ko nikalnā paḌegā
na bhaḌkāo nafrat kī ye aag har-sū
nahīñ to tumheñ is meñ jalnā paḌegā
are phuul kī sej par sone vaalo
kisī roz kāñToñ pe chalnā paḌegā
taraqqī kī ye shart-e-avval hai 'tal.at'
tumheñ vaqt ke saath chalnā paḌegā
tumhein shauq-e-manzil mein chalna paDega
gire ho to gir kar sanbhalna paDega
jahan mein wafa ka chalan aam kar ke
nizam-e-jafa ko badalna paDega
guhar-ha-e-maqsud gar chahte ho
hawadis ke tufan mein palna paDega
bachani hai tufan se gar apni kashti
hawaon ke ruKH ko badalna paDega
nahin mai-kade mein koi nazm baqi
hamein apna saqi badalna paDega
na gar KHwab-e-ghaflat se chaunke to tum ko
nadamat se hathon ko malna paDega
jahaalat tassub wa firqa-parasti
ye daldal hai is se nikalna paDega
the hum raunaq-e-bazm ye kya KHabar thi
kabhi shama ban kar pighalna paDega
jinhon ne sajai thi ye teri mahfil
ghazab hai unhi ko nikalna paDega
na bhaDkao nafrat ki ye aag har-su
nahin to tumhein is mein jalna paDega
are phul ki sej par sone walo
kisi roz kanTon pe chalna paDega
taraqqi ki ye shart-e-awwal hai 'talat'
tumhein waqt ke sath chalna paDega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.