tu jo kahta hai shab-e-wasl mein har bar nahin
tū jo kahtā hai shab-e-vasl meñ har baar nahīñ
ham samajhte haiñ ye iqrār hai inkār nahīñ
kis ke dil meñ tirī ulfat kā chubhā ḳhaar nahīñ
kaun hai vo jo tirā tālib-e-dīdār nahīñ
kufr-o-dīñ kuchh sabab-e-sub.ha-o-zunnār nahīñ
is se hotā koī kāfir koī dīñ-dār nahīñ
apnā vo haal hai jo qābil-e-iz.hār nahīñ
vo zabāñ apnī hai jo lā.eq-e-guftār nahīñ
kyā hai vo ishq ki jis kī na ho shohrat sab meñ
kyā vo āshiq hai jo rusvā sar-e-bāzār nahīñ
ishq meñ ik but-e-kāfir ke hamāre tan par
kaun sī rag hai jo ham-sūrat-e-zunnār nahīñ
mashġhala dast-e-junūñ ke liye ab kyā hogā
ek bhī apne garebāñ meñ rahā taar nahīñ
bolo āhista shab-e-vasl ḳhudā ko maano
koī bad-ḳhvāh khaḌā ho pas-e-dīvār nahīñ
aisī hālat meñ ho kyūñkar mujhe ummīd-e-visāl
mere kahne meñ vo ma.ashūq-e-tarahdār nahīñ
ab bulānā hai hameñ us kā abas ai qāsid
taab uThne kī nahīñ tāqat-e-raftār nahīñ
ziist kī baat to hai aur magar zāhir meñ
maraz-e-ishq se bachne ke kuchh āsār nahīñ
hāl-e-dil apnā bayāñ kis se karūñ ai 'sābir'
koī monis nahīñ hamdam nahīñ ġham-ḳhvār nahīñ
tu jo kahta hai shab-e-wasl mein har bar nahin
hum samajhte hain ye iqrar hai inkar nahin
kis ke dil mein teri ulfat ka chubha KHar nahin
kaun hai wo jo tera talib-e-didar nahin
kufr-o-din kuchh sabab-e-subha-o-zunnar nahin
is se hota koi kafir koi din-dar nahin
apna wo haal hai jo qabil-e-izhaar nahin
wo zaban apni hai jo laeq-e-guftar nahin
kya hai wo ishq ki jis ki na ho shohrat sab mein
kya wo aashiq hai jo ruswa sar-e-bazar nahin
ishq mein ek but-e-kafir ke hamare tan par
kaun si rag hai jo ham-surat-e-zunnar nahin
mashghala dast-e-junun ke liye ab kya hoga
ek bhi apne gareban mein raha tar nahin
bolo aahista shab-e-wasl KHuda ko mano
koi bad-KHwah khaDa ho pas-e-diwar nahin
aisi haalat mein ho kyunkar mujhe ummid-e-visal
mere kahne mein wo mashuq-e-tarahdar nahin
ab bulana hai hamein us ka abas ai qasid
tab uThne ki nahin taqat-e-raftar nahin
zist ki baat to hai aur magar zahir mein
maraz-e-ishq se bachne ke kuchh aasar nahin
haal-e-dil apna bayan kis se karun ai 'sabir'
koi monis nahin hamdam nahin gham-KHwar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.