tu rahe ye rut rahe ye daur-e-paimana rahe
tū rahe ye rut rahe ye daur-e-paimāna rahe
tā-qayāmat sāqiyā ābād mai-ḳhāna rahe
ik taraf jaltā rahā parvāna sham-e-bazm par
ik taraf ham sham.a-ruḳh par ban ke parvāna rahe
shor bulbul kā chaman meñ hai to kyā ai ham-navā
ham to dīvāne uḌāte ḳhāk-e-vīrāna rahe
kyā zarā sī baat kā tū ne batañgaḌ kar diyā
tujh se mere yaar kis kā kab ko yārāna rahe
ham se dīvāne meñ shikve kī kahāñ tāqat bhalā
tohmateñ ham par lagā kar aap farzāna rahe
merī ulfat meñ nahīñ kuchh farq terī baat se
mere lab par tere ġhamze kā hī shukrāna rahe
kījiye 'dīvān' raushan is tarah se naam ko
hashr tak to kam se kam ulfat kā afsāna rahe
tu rahe ye rut rahe ye daur-e-paimana rahe
ta-qayamat saqiya aabaad mai-KHana rahe
ek taraf jalta raha parwana sham-e-bazm par
ek taraf hum shama-ruKH par ban ke parwana rahe
shor bulbul ka chaman mein hai to kya ai ham-nawa
hum to diwane uDate KHak-e-virana rahe
kya zara si baat ka tu ne batangaD kar diya
tujh se mere yar kis ka kab ko yarana rahe
hum se diwane mein shikwe ki kahan taqat bhala
tohmaten hum par laga kar aap farzana rahe
meri ulfat mein nahin kuchh farq teri baat se
mere lab par tere ghamze ka hi shukrana rahe
kijiye 'diwan' raushan is tarah se nam ko
hashr tak to kam se kam ulfat ka afsana rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.