tur ban kar jal gaya ya shauq-e-musa ho gaya
tuur ban kar jal gayā yā shauq-e-mūsā ho gayā
haa.e vo dil jo tire jalve kā shaidā ho gayā
yak-ba-yak ai iltifāt-e-yār ye kyā ho gayā
dard pahle dil meñ uTThā phir tamannā ho gayā
ḳhaak kar denā hai hastī kā kamāl-e-zindagī
qatra dariyā hai jo ham-āġhosh-e-dariyā ho gayā
nā-tavānī sabr kī talqīn jab karne lagī
dard hī hamdard ban kar chāra-farmā ho gayā
rah ga.ī dil meñ jo hasrat rāz-e-ulfat ban ga.ī
ashk bas āñkhoñ se Tapkā thā ki dariyā ho gayā
jhūltī thī kal isī gahvāre meñ ma.asūmiyat
aaj ye dil mahsharistān-e-tamannā ho gayā
har tamannā ban rahī hai ik jahān-e-ārzū
kaun ye dil meñ ilāhī jalva-farmā ho gayā
kyoñ mire kahne se vo parde ke bāhar aa ga.e
ishq to majnūñ hai lekin husn ko kyā ho gayā
ta.ana-e-ahbāb duniyā kī qayās-ārā.iyāñ
ik tirī ḳhātir mujhe sab kuchh gavārā ho gayā
ab kahāñ le jaa.eñ apnī is tabī.at ko 'munīr'
lo ḳhayāl-e-ishq bhī andoh-afzā ho gayā
tur ban kar jal gaya ya shauq-e-musa ho gaya
hae wo dil jo tere jalwe ka shaida ho gaya
yak-ba-yak ai iltifat-e-yar ye kya ho gaya
dard pahle dil mein uTTha phir tamanna ho gaya
KHak kar dena hai hasti ka kamal-e-zindagi
qatra dariya hai jo ham-aghosh-e-dariya ho gaya
na-tawani sabr ki talqin jab karne lagi
dard hi hamdard ban kar chaara-farma ho gaya
rah gai dil mein jo hasrat raaz-e-ulfat ban gai
ashk bas aankhon se Tapka tha ki dariya ho gaya
jhulti thi kal isi gahware mein masumiyat
aaj ye dil mahsharistan-e-tamanna ho gaya
har tamanna ban rahi hai ek jahan-e-arzu
kaun ye dil mein ilahi jalwa-farma ho gaya
kyon mere kahne se wo parde ke bahar aa gae
ishq to majnun hai lekin husn ko kya ho gaya
tana-e-ahbab duniya ki qayas-araiyan
ek teri KHatir mujhe sab kuchh gawara ho gaya
ab kahan le jaen apni is tabiat ko 'munir'
lo KHayal-e-ishq bhi andoh-afza ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.