ubhra jo chand unghti parchhaiyan milin
ubhrā jo chāñd ūñghtī parchhā.iyāñ milīñ
har raushnī kī god meñ tanhā.iyāñ milīñ
shahar vafā meñ ham jo chale aa.e daf.atan
har har qadam pe dard kī shahnā.iyāñ milīñ
ġhunche hañse to husn kā kosoñ pata na thā
rūThī huī kuchh aisī bhī ra.anā.iyāñ milīñ
zehn-e-ḳhalish se dekhā jo aivān-e-ḳhvāb ko
ḳhvāhish ko pūjtī huī añgnā.iyāñ milīñ
ḳhushbū ke reg-zār meñ kyā jaane kyā mile
yādoñ ke aa.ine meñ to añgḌā.iyāñ milīñ
ubhra jo chand unghti parchhaiyan milin
har raushni ki god mein tanhaiyan milin
shahar wafa mein hum jo chale aae dafatan
har har qadam pe dard ki shahnaiyan milin
ghunche hanse to husn ka koson pata na tha
ruThi hui kuchh aisi bhi ranaiyan milin
zehn-e-KHalish se dekha jo aiwan-e-KHwab ko
KHwahish ko pujti hui angnaiyan milin
KHushbu ke reg-zar mein kya jaane kya mile
yaadon ke aaine mein to angDaiyan milin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.