uf ye barfani hawa tere baghair
uf ye barfānī havā tere baġhair
kyā piyūñ o be-vafā tere baġhair
paañv meñ Daalī huī zanjīr hai
zindagī kā silsila tere baġhair
hai ġhulāmoñ ke diloñ kī be-hisī
ye havā aur ye fazā tere baġhair
dasht-e-tīra kī ḳhamosh uftād hai
zindagī kā mudda.ā tere baġhair
zindagī aur phir hamārī zindagī
hai gunāhoñ kī sazā tere baġhair
zindagī aur zindagī kī dhuup chhāñv
tā-ba-ke aur tā-kujā tere baġhair
dīda-e-be-nūr hai mere liye
ārzūoñ kī baqā tere baġhair
zāhidoñ ke dil kī hai be-mā.egī
mahfil-e-arz-o-samā tere baġhair
kyoñ sañbhālā le liyā bīmār ne
haa.e ye kyā ho gayā tere baġhair
ye ta.ajjub hai ki zinda hai abhī
'bismil'-e-dard-āshnā tere baġhair
uf ye barfani hawa tere baghair
kya piyun o be-wafa tere baghair
panw mein Dali hui zanjir hai
zindagi ka silsila tere baghair
hai ghulamon ke dilon ki be-hisi
ye hawa aur ye faza tere baghair
dasht-e-tira ki KHamosh uftad hai
zindagi ka muddaa tere baghair
zindagi aur phir hamari zindagi
hai gunahon ki saza tere baghair
zindagi aur zindagi ki dhup chhanw
ta-ba-ke aur ta-kuja tere baghair
dida-e-be-nur hai mere liye
aarzuon ki baqa tere baghair
zahidon ke dil ki hai be-maegi
mahfil-e-arz-o-sama tere baghair
kyon sanbhaala le liya bimar ne
hae ye kya ho gaya tere baghair
ye tajjub hai ki zinda hai abhi
'bismil'-e-dard-ashna tere baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.