uljhe na ishq se kaho dair-o-haram se kya gharaz
uljhe na ishq se kaho dair-o-haram se kyā ġharaz
pīr-e-muġhāñ se kaam kyā naqsh-e-qadam se kyā ġharaz
apne sharīk bhī nahīñ ġhairoñ ko ham se kyā ġharaz
sach hai kisī ko soz-e-dil dīda-e-nam se kyā ġharaz
sun lo marīz-e-ishq kā ab to ilaaj ho chukā
ḳhud hī masīhā jab kahe aise ko dam se kyā ġharaz
pesha ho jis kā kīna-o-jaur-o-jafā to hai bajā
jalva-fagan ho kis liye mehr-o-karam se kyā ġharaz
sadqe hazār baar hue kahne pe jis ke mar-miTe
phir bhī na vo mire hue kahte haiñ ham se kyā ġharaz
mahfil-e-dilrubā meñ kyoñ charchā mirā koī kare
mere raqīb ko mire ranj-o-alam se kyā ġharaz
jām-e-sharāb kaun de rindoñ ko apnī hai paḌī
ḳhum se lage haiñ shaiḳh jī saaqī ko ham se kyā ġharaz
koī bulāne aa.e kyoñ ghar se hameñ le jaa.e kyoñ
pīr-e-muġhāñ to ham nahīñ rindoñ ko ham se kyā ġharaz
zāhid-e-sāda-lauh kyoñ taqve pe tujh ko naaz yuuñ
tere ḳhudā ko nā-samajh tauf-e-haram se kyā ġharaz
uljhe na ishq se kaho dair-o-haram se kya gharaz
pir-e-mughan se kaam kya naqsh-e-qadam se kya gharaz
apne sharik bhi nahin ghairon ko hum se kya gharaz
sach hai kisi ko soz-e-dil dida-e-nam se kya gharaz
sun lo mariz-e-ishq ka ab to ilaj ho chuka
KHud hi masiha jab kahe aise ko dam se kya gharaz
pesha ho jis ka kina-o-jaur-o-jafa to hai baja
jalwa-fagan ho kis liye mehr-o-karam se kya gharaz
sadqe hazar bar hue kahne pe jis ke mar-miTe
phir bhi na wo mere hue kahte hain hum se kya gharaz
mahfil-e-dilruba mein kyon charcha mera koi kare
mere raqib ko mere ranj-o-alam se kya gharaz
jam-e-sharab kaun de rindon ko apni hai paDi
KHum se lage hain shaiKH ji saqi ko hum se kya gharaz
koi bulane aae kyon ghar se hamein le jae kyon
pir-e-mughan to hum nahin rindon ko hum se kya gharaz
zahid-e-sada-lauh kyon taqwe pe tujh ko naz yun
tere KHuda ko na-samajh tauf-e-haram se kya gharaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.