un ke dar par qiyam rakhte hain
un ke dar par qiyām rakhte haiñ
ek ūñchā maqām rakhte haiñ
anginat ārzūeñ haiñ dil meñ
shīsha rakhte haiñ jaam rakhte haiñ
haiñ tajassus talab jo zer-e-nazar
jāda-e-nā-tamām rakhte haiñ
madfanoñ kī pukār sun sun kar
apnī hastī ko thaam rakhte haiñ
sho.ala-sāmāniyoñ kī ThanDak hai
ham bhī phūloñ se kaam rakhte haiñ
paltī hai sub.h bhī in āñkhoñ meñ
raat kā ehtirām rakhte haiñ
bād-pā.ī pe naaz hai ham ko
aur zabāñ par lagām rakhte haiñ
siina uryāñ ram-āshnā na sahī
qais apnā jo naam rakhte haiñ
ik tasavvur meñ ek nazroñ meñ
sub.h rakhte haiñ shaam rakhte haiñ
kuchh to jeb-e-qabā-e-shab meñ ho
ik talāsh-e-mudām rakhte haiñ
ham sazā-vār-e-baḳhshish aap hue
ma.asiyat par davām rakhte haiñ
zinda ab bhī haiñ vasl ho 'nāzir'
intizāroñ se kaam rakhte haiñ
un ke dar par qiyam rakhte hain
ek uncha maqam rakhte hain
anginat aarzuen hain dil mein
shisha rakhte hain jam rakhte hain
hain tajassus talab jo zer-e-nazar
jada-e-na-tamam rakhte hain
madfanon ki pukar sun sun kar
apni hasti ko tham rakhte hain
shoala-samaniyon ki ThanDak hai
hum bhi phulon se kaam rakhte hain
palti hai subh bhi in aankhon mein
raat ka ehtiram rakhte hain
baad-pai pe naz hai hum ko
aur zaban par lagam rakhte hain
sina uryan ram-ashna na sahi
qais apna jo nam rakhte hain
ek tasawwur mein ek nazron mein
subh rakhte hain sham rakhte hain
kuchh to jeb-e-qaba-e-shab mein ho
ek talash-e-mudam rakhte hain
hum saza-war-e-baKHshish aap hue
masiyat par dawam rakhte hain
zinda ab bhi hain wasl ho 'nazir'
intizaron se kaam rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.