unki mahfil mein chali hai mere afkar ki baat
un kī mahfil meñ chalī hai mire afkār kī baat
fikr ne merī sujhā.ī hai mujhe daar kī baat
zardī-e-āriz-e-dil aaj bhī baaqī hai mirī
umr-bhar kartā rahā āriz-e-gulnār kī baat
fāsle ḳhatm hue jaada banā kū-e-adam
kis ko samjhā.ūñ tirī shoḳhī-e-raftār kī baat
aadmī nazm-e-ḳhudā.ī se ulajh baiThā hai
ab yahāñ sajde kī hotī hai na zunnār kī baat
apnī āvāz se bhī shaah laraz uThte haiñ
jab mahallāt meñ ho kūcha-o-bāzār kī baat
saarī duniyā dar-e-maqtal pe simaT aa.ī hai
āmad-e-sail hai kyā ho dar-o-dīvār kī baat
ik tasalsul ke sivā khel meñ kyā rakkhā hai
be-ḳhabar karte haiñ kyoñ jiit kī aur haar kī baat
kar rahā huuñ maiñ rag-e-zīst se phir ḳhuun kashīd
aa.egī un ke laboñ par abhī īsār kī baat
jaane kyoñ fikr mirī shoa.la-fishāñ hotī hai
jab bhī kartā hai koī khusravī darbār kī baat
tum agar chāho to maiñ naag se Dasvā lūñgā
sāmne mere na karnā kisī zardār kī baat
yaad aa.e mujhe vietnam se uThte sho.ale
jab bhī chheḌī hai ġham-e-dil ne qad-e-yār kī baat
mohtasib naġhma-e-pāzeb kā pāband huā
shahr ke lab pe hai zanjīr kī jhankār kī baat
na masarrat kā tasavvur hai na ġham kī taḳh.īl
zindagī apnī hai jaise koī begār kī baat
un ki mahfil mein chali hai mere afkar ki baat
fikr ne meri sujhai hai mujhe dar ki baat
zardi-e-ariz-e-dil aaj bhi baqi hai meri
umr-bhar karta raha aariz-e-gulnar ki baat
fasle KHatm hue jada bana ku-e-adam
kis ko samjhaun teri shoKHi-e-raftar ki baat
aadmi nazm-e-KHudai se ulajh baiTha hai
ab yahan sajde ki hoti hai na zunnar ki baat
apni aawaz se bhi shah laraz uThte hain
jab mahallat mein ho kucha-o-bazar ki baat
sari duniya dar-e-maqtal pe simaT aai hai
aamad-e-sail hai kya ho dar-o-diwar ki baat
ek tasalsul ke siwa khel mein kya rakkha hai
be-KHabar karte hain kyon jit ki aur haar ki baat
kar raha hun main rag-e-zist se phir KHun kashid
aaegi un ke labon par abhi isar ki baat
jaane kyon fikr meri shoala-fishan hoti hai
jab bhi karta hai koi khusrawi darbar ki baat
tum agar chaho to main nag se Daswa lunga
samne mere na karna kisi zardar ki baat
yaad aae mujhe wietnam se uThte shoale
jab bhi chheDi hai gham-e-dil ne qad-e-yar ki baat
mohtasib naghma-e-pazeb ka paband hua
shahr ke lab pe hai zanjir ki jhankar ki baat
na masarrat ka tasawwur hai na gham ki taKHil
zindagi apni hai jaise koi begar ki baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.