unhen hum salik-e-rah-e-fana ai dil samajhte hain
unhen hum salik-e-rah-e-fana ai dil samajhte hain
Mustafa Husain Nayyar
MORE BYMustafa Husain Nayyar
unheñ ham sālik-e-rāh-e-fanā ai dil samajhte haiñ
jo apne har-nafas ko āḳhrī manzil samajhte haiñ
use ham daulat-e-kaunain kā hāsil samajhte haiñ
jise sab duur kahte haiñ jise sab dil samajhte haiñ
vahī kuchh sajda-hā-e-shauq kā hāsil samajhte haiñ
jo us ke qurb ko firdaus-e-jān-o-dil samajhte haiñ
nishāñ hai mere sajde kā jo ik rāh-e-mohabbat meñ
usī ko sab charāġh-e-sarhad-e-manzil samajhte haiñ
na vo qātil na un kī chashm-o-mizhgān-o-nazar qātil
ham apne dil ko ḳhud apne liye qātil samajhte haiñ
koī is irtibāt-e-bāhamī ke raaz kyā jaane
jise vo tiir kahte haiñ use ham dil samajhte haiñ
vo ik halkā sā partav hai mire dāġh-e-mohabbat kā
jise ahl-e-jahāñ 'nayyar' mah-e-kāmil samajhte haiñ
unhen hum salik-e-rah-e-fana ai dil samajhte hain
jo apne har-nafas ko aaKHri manzil samajhte hain
use hum daulat-e-kaunain ka hasil samajhte hain
jise sab dur kahte hain jise sab dil samajhte hain
wahi kuchh sajda-ha-e-shauq ka hasil samajhte hain
jo us ke qurb ko firdaus-e-jaan-o-dil samajhte hain
nishan hai mere sajde ka jo ek rah-e-mohabbat mein
usi ko sab charagh-e-sarhad-e-manzil samajhte hain
na wo qatil na un ki chashm-o-mizhgan-o-nazar qatil
hum apne dil ko KHud apne liye qatil samajhte hain
koi is irtibaat-e-bahami ke raaz kya jaane
jise wo tir kahte hain use hum dil samajhte hain
wo ek halka sa partaw hai mere dagh-e-mohabbat ka
jise ahl-e-jahan 'nayyar' mah-e-kaamil samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.