unhen talash karo tark-e-rang-o-bu karke
unheñ talāsh karo tark-e-rang-o-bū karke
ki maiñ ne dekh liyā dil lahū lahū karke
ġharaz ki phail gayā aur dāġh-e-nākāmī
ḳhajil bahut huā maiñ ishq meñ ġhulū karke
dimāġh aur mo.attar kiyā hai saaqī ne
asīr-e-zulf-e-muambar ko hū-ba-hū karke
mirī vajah se baḌhā aur rang-e-ḳhanjar-e-nāz
kahāñ se sajda kiyā ḳhuun se vuzū karke
mirā hī naqsh-e-tamannā dikhā rahā hai mujhe
vafā kā aa.ina mere hī rū-ba-rū karke
vo muskurā to paḌā ḳhair iltijā sun kar
burā karam kiyā mahfil meñ aabrū karke
tamām raat huā kusht-o-ḳhūñ tamanna kā
nikālā phir hameñ mahfil se surḳh-rū karke
tirī talāsh meñ kis raah meñ bhaTaktā huuñ
ḳhabar nahīñ maiñ kahāñ khoyā justujū karke
na samjhe dām-e-talab ham ne jab bichhāyā thā
chaman ke phūloñ ko ham sūrat-e-subū karke
pahuñchne paa.ī na vus.at chaman kī sahrā tak
vo ik hamīñ haiñ jo pahuñche haiñ kū-ba-kū karke
chaleñge bazm meñ ham aaj un ko chauñkāne
jigar ko thaam ke dāmān-e-dil rafū karke
kisī ne sach kahā 'dīvān' jhuuT vo samjhe
kahīñ ke ham na rahe un se guftugū karke
unhen talash karo tark-e-rang-o-bu karke
ki main ne dekh liya dil lahu lahu karke
gharaz ki phail gaya aur dagh-e-nakaami
KHajil bahut hua main ishq mein ghulu karke
dimagh aur moattar kiya hai saqi ne
asir-e-zulf-e-muambar ko hu-ba-hu karke
meri wajah se baDha aur rang-e-KHanjar-e-naz
kahan se sajda kiya KHun se wuzu karke
mera hi naqsh-e-tamanna dikha raha hai mujhe
wafa ka aaina mere hi ru-ba-ru karke
wo muskura to paDa KHair iltija sun kar
bura karam kiya mahfil mein aabru karke
tamam raat hua kusht-o-KHun tamanna ka
nikala phir hamein mahfil se surKH-ru karke
teri talash mein kis rah mein bhaTakta hun
KHabar nahin main kahan khoya justuju karke
na samjhe dam-e-talab hum ne jab bichhaya tha
chaman ke phulon ko hum surat-e-subu karke
pahunchne pai na wusat chaman ki sahra tak
wo ek hamin hain jo pahunche hain ku-ba-ku karke
chalenge bazm mein hum aaj un ko chaunkane
jigar ko tham ke daman-e-dil rafu karke
kisi ne sach kaha 'diwan' jhuT wo samjhe
kahin ke hum na rahe un se guftugu karke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.