unhen ye haT ki hum aaenge ek pahar ke liye
unhen ye haT ki hum aaenge ek pahar ke liye
Nazeer Mohammad Arzu Jaipuri
MORE BYNazeer Mohammad Arzu Jaipuri
unheñ ye haT ki ham ā.eñge ik pahar ke liye
mujhe ye zid ki nahīñ aao raat bhar ke liye
sahar huī to vahī shaam kī tamanna hai
duā.eñ shaam se māñgā kiye sahar ke liye
asar duāoñ meñ ushshāq kī na ho kyūñkar
asar duā ke liye hai duā asar ke liye
tum apne gesū o ruḳh se hī pūchh lo maiñ ne
mare firāq meñ jo shaam aur sahar ke liye
hameñ ye ne.amat-e-uzmā-rasā na kyoñ miltī
ḳhudā ne ishq ko paidā kiyā bashar ke liye
unhen ye haT ki hum aaenge ek pahar ke liye
mujhe ye zid ki nahin aao raat bhar ke liye
sahar hui to wahi sham ki tamanna hai
duaen sham se manga kiye sahar ke liye
asar duaon mein ushshaq ki na ho kyunkar
asar dua ke liye hai dua asar ke liye
tum apne gesu o ruKH se hi puchh lo main ne
mare firaq mein jo sham aur sahar ke liye
hamein ye neamat-e-uzma-rasa na kyon milti
KHuda ne ishq ko paida kiya bashar ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.