uski qurbat ka tamasha bhi ajab hai sain
us kī qurbat kā tamāshā bhī ajab hai sā.īñ
log bīmār samajhte haiñ ġhazab hai sā.īñ
ab tabī.at ke na lagne pe khulā mahfil meñ
ik vahī shoḳh nahīñ vaise to sab hai sā.īñ
haa.e kambaḳht ne is darja kiyā hai māyūs
maiñ samajhtā thā ki iz.hār-ba-lab hai sā.īñ
maiñ bhī kuchh apne hunar kā to dikhā.ūñ jalva
jashn-e-nauroz batā shahr meñ kab hai sā.īñ
rañg khultā hai kahāñ shaam se pahle us kā
shaam bhī der se aatī hai ġhazab hai sā.īñ
shauq merā ye nahīñ hai mirī majbūrī hai
kuchh to is tarah bhaTakne kā sabab hai sā.īñ
dard-e-dil le ke kahīñ aur bhalā kyoñ jā.ūñ
sāmne jab mire terā ye matab hai sā.īñ
us ki qurbat ka tamasha bhi ajab hai sain
log bimar samajhte hain ghazab hai sain
ab tabiat ke na lagne pe khula mahfil mein
ek wahi shoKH nahin waise to sab hai sain
hae kambaKHt ne is darja kiya hai mayus
main samajhta tha ki izhaar-ba-lab hai sain
main bhi kuchh apne hunar ka to dikhaun jalwa
jashn-e-nauroz bata shahr mein kab hai sain
rang khulta hai kahan sham se pahle us ka
sham bhi der se aati hai ghazab hai sain
shauq mera ye nahin hai meri majburi hai
kuchh to is tarah bhaTakne ka sabab hai sain
dard-e-dil le ke kahin aur bhala kyon jaun
samne jab mere tera ye matab hai sain
- Book : مرے تصور میں رنگ بھردو (Pg. 53)
- Author : بسمل عارفی
- Publication : نور پبلی کیشن، دریا گنج،نئی دہلی (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.