use to kho hi chuke phir KHayal kya us ka
use to kho hī chuke phir ḳhayāl kyā us kā
ye fikr kaisī ki phir hogā haal kyā us kā
vo ek shaḳhs jise ḳhud hī chhoḌ baiThe haiñ
ghulāe detā hai dil ko malāl kyā us kā
tumhārī āñkhoñ meñ chhalkīñ nadāmateñ kaise
javāb banñe lagā kyā savāl kyā us kā
vo nafratoñ ke bhañvar meñ bhī muskurā ke milā
ab is se baḌh ke bhalā ho kamāl kyā us kā
use to jaañ se bhī apnī azīz-tar rakhiye
jo zaḳhm ḳhud hī lage indimāl kyā us kā
ab is tarah bhī na yādoñ kī kirchiyāñ chuniye
na thā firāq se behtar visāl kyā us kā
ye soch kar na use phir kabhī mile 'ḳhālid'
ki jaane hogā nadāmat se haal kyā us kā
use to kho hi chuke phir KHayal kya us ka
ye fikr kaisi ki phir hoga haal kya us ka
wo ek shaKHs jise KHud hi chhoD baiThe hain
ghulae deta hai dil ko malal kya us ka
tumhaari aankhon mein chhalkin nadamaten kaise
jawab banne laga kya sawal kya us ka
wo nafraton ke bhanwar mein bhi muskura ke mila
ab is se baDh ke bhala ho kamal kya us ka
use to jaan se bhi apni aziz-tar rakhiye
jo zaKHm KHud hi lage indimal kya us ka
ab is tarah bhi na yaadon ki kirchiyan chuniye
na tha firaq se behtar visal kya us ka
ye soch kar na use phir kabhi mile 'KHalid'
ki jaane hoga nadamat se haal kya us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.