wajh-e-KHalish hai ba’is-e-asudgi bhi hai
wajh-e-KHalish hai ba’is-e-asudgi bhi hai
Basheer Ahmad Basheer
MORE BYBasheer Ahmad Basheer
vaj.h-e-ḳhalish hai bā’is-e-āsūdgī bhī hai
ye bo'd jis meñ lazzat-e-hamsā.egī bhī hai
kuchh dasht ke bagūle bhī haiñ bā'is-e-fishār
kuchh ḳhud mizāj-e-ḳhāk meñ āvārgī bhī hai
bastī koī 'ajīb hai ye is jagah ke log
ḳhanda-ba-lab haiñ chehroñ pe āzurdagī bhī hai
vaise bhī kuchh yahāñ se tabī'at hai ab uchāT
yuuñ dil ko is dayār se vābastagī bhī hai
is apnī gosha-gīrī ke haiñ aur bhī sabab
ik vaj.h past-himmatoñ kī ḳhvājgī bhī hai
vo ātishīñ kurah hai ye dil jis ke har taraf
tārīkī-e-ḳhalā bhī hai yaḳh-bastagī bhī hai
phir mujh se qaum kartī hai kyoñ mo'jize talab
jab tā’n-e-sehr-o-tohmat-e-dīvāngī bhī hai
maujūdgī tirī muta’ayyan na ho sakī
ai tū ki har jagah tirī maujūdgī bhī hai
kyā kījiye 'bashīr' shu'ūr-e-anā ke saath
hukm-e-sujūd-o-'ājizī-o-bandagī bhī hai
wajh-e-KHalish hai ba’is-e-asudgi bhi hai
ye bo'd jis mein lazzat-e-hamsaegi bhi hai
kuchh dasht ke bagule bhi hain ba'is-e-fishaar
kuchh KHud mizaj-e-KHak mein aawargi bhi hai
basti koi 'ajib hai ye is jagah ke log
KHanda-ba-lab hain chehron pe aazurdagi bhi hai
waise bhi kuchh yahan se tabi'at hai ab uchaT
yun dil ko is dayar se wabastagi bhi hai
is apni gosha-giri ke hain aur bhi sabab
ek wajh past-himmaton ki KHwajgi bhi hai
wo aatishin kurah hai ye dil jis ke har taraf
tariki-e-KHala bhi hai yaKH-bastagi bhi hai
phir mujh se qaum karti hai kyon mo'jize talab
jab ta’n-e-sehr-o-tohmat-e-diwangi bhi hai
maujudgi teri muta’ayyan na ho saki
ai tu ki har jagah teri maujudgi bhi hai
kya kijiye 'bashir' shu'ur-e-ana ke sath
hukm-e-sujud-o-'ajizi-o-bandagi bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.