waqt ki duri ko aankhon mein simaTte dekha
vaqt kī duurī ko āñkhoñ meñ simaTte dekhā
ġham-zada haal ko maazī se lipaTte dekhā
ḳhān-qāheñ to abhī chup haiñ magar maiñ ne vahāñ
ras bharī baat meñ mīrās ko baTte dekhā
maiñ ne iḳhlās kī tauqīr meñ dekhī jo kamī
dil meñ rishtoñ kī mohabbat ko bhī ghaTte dekhā
kaise maġhlūb ho shamshīr ye sochā maiñ ne
dast-e-qātil se har ik sar ko jo kaTte dekhā
vaz.a-dārī se huī jab bhī ye duniyā ḳhālī
achchhe achchhoñ ko usūloñ se bhī haTte dekhā
us ke va.adoñ pe bharosa nahīñ karnā 'sālim'
maiñ ne aksar use bātoñ se palaTte dekhā
waqt ki duri ko aankhon mein simaTte dekha
gham-zada haal ko mazi se lipaTte dekha
KHan-qahen to abhi chup hain magar main ne wahan
ras bhari baat mein miras ko baTte dekha
main ne iKHlas ki tauqir mein dekhi jo kami
dil mein rishton ki mohabbat ko bhi ghaTte dekha
kaise maghlub ho shamshir ye socha main ne
dast-e-qatil se har ek sar ko jo kaTte dekha
waza-dari se hui jab bhi ye duniya KHali
achchhe achchhon ko usulon se bhi haTte dekha
us ke wadon pe bharosa nahin karna 'salim'
main ne aksar use baaton se palaTte dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.